Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya sal

Akhtar Payami

naya sal

Akhtar Payami

MORE BYAkhtar Payami

    phir nayā saal dabe paañv chalā aayā hai

    aur miTte hue maddham se nuqūsh

    daur-e-māzī ḳhalāoñ meñ nazar aate haiñ

    jaise chhoḌī huī manzil nishāñ

    jaise kuchh duur se aatī huī āvāz-e-jaras

    kaun sahme hue māyūs diyoñ ko dekhe

    phir bhī ye mujh ko ḳhayāl aatā hai

    kitnī nau-ḳhez ummīdoñ ko sahāre na mile

    kitnī Duubī huī kashtī ko kināre na mile

    zulf lahrā.ī pe sāvan ghaTā ban na sakī

    subah hañstī rahī bujhte rahe kitne chehre

    chūḌiyāñ TuuT ga.iiñ maañg ke sindūr ujḌe

    god vīrān huī

    naġhme taḳhlīq hue hoñT sile

    kitne fan-pāroñ ke ambār lage

    shāh-rāhoñ pe jalāne ke liye

    āshiyāne tasavvur abhī aayā thā

    bijliyāñ kauñd ga.iiñ

    hiroshima chīḳh uThā

    kitnā pur-haul samāñ

    kitnī bhayānak tārīḳh

    ye mah-o-sāl ke phaile hue jaal

    phir nayā saal dabe paañv chalā aayā hai

    roz-o-shab jaise añdhere meñ luTeroñ ke giroh

    apnī tārīk kamīñ gāhoñ meñ chhap kar baiTheñ

    aur dāmānda saarā koī

    ajnabī rāhoñ se Dartā huā ghabrāyā huā

    apnī koī huī manzil taraf jaatā ho

    aur luTere ise tanhā kar

    us ke siine lahū le leñ ummīdoñ ke diye bujh jaa.eñ

    kaun lekin dil insāñ tapish chhīn sake

    phir nayā saal dabe paañv chalā aayā hai

    kitnī bārīk hai ye sub.h pahlī kiran

    kaun jaane ki na.ī daam bhī kyā lā.egī

    kaan meñ aaj bhī mānūs sadā aatī hai

    vahī dollar tilism

    vahī tahzīb-o-tamaddun ke purāne da.ave

    vahī pasmāñda mamālik taraqqī fareb

    vahī tārīḳh siyāsat ke purāne shātir

    atomī jañg elaan kiyā karte haiñ

    kaun lekin dil-e-insāñ tapish chhīn sake

    irtiqā āhan-o-faulād se kis tarah ruke

    TuuT jā.eñge mah-o-sāl ke phaile hue jaal

    phir nayā saal dabe paañv chalā aatā hai

    jaao tārīk makānoñ meñ charāġhāñ kar do

    aaj zanjīr ik aur kaḌī TuuT ga.ī

    aaj duniyā ke avaam

    apne siine se lagā.e hue apnī tārīḳh

    apne hāthoñ meñ na.e ahd farmān liye

    ik na.ī raah pe baḌhte chale jaate haiñ

    roz-o-shab jaise añdhere meñ luTeroñ ke giroh

    haath bāñdhe hue qadmoñ pe jabīneñ rakh deñ

    phir nayā saal dabe paañv chalā aayā hai

    jaao tārīk makānoñ meñ charāġhāñ kar do

    phir naya sal dabe panw chala aaya hai

    aur miTte hue maddham se nuqush

    daur-e-mazi ki KHalaon mein nazar aate hain

    jaise chhoDi hui manzil ka nishan

    jaise kuchh dur se aati hui aawaz-e-jaras

    kaun sahme hue mayus diyon ko dekhe

    phir bhi ye mujh ko KHayal aata hai

    kitni nau-KHez ummidon ko sahaare na mile

    kitni Dubi hui kashti ko kinare na mile

    zulf lahrai pe sawan ki ghaTa ban na saki

    subah hansti rahi bujhte rahe kitne chehre

    chuDiyan TuT gain mang ke sindur ujDe

    god viran hui

    naghme taKHliq hue honT sile

    kitne fan-paron ke ambar lage

    shah-rahon pe jalane ke liye

    aashiyane ka tasawwur hi abhi aaya tha

    bijliyan kaund gain

    hiroshima chiKH uTha

    kitna pur-haul saman

    kitni bhayanak tariKH

    ye mah-o-sal ke phaile hue jal

    phir naya sal dabe panw chala aaya hai

    roz-o-shab jaise andhere mein luTeron ke giroh

    apni tarik kamin gahon mein chhap kar baiThen

    aur damanda sara hi koi

    ajnabi rahon se Darta hua ghabraya hua

    apni koi hui manzil ki taraf jata ho

    aur luTere ise tanha pa kar

    us ke sine ka lahu le len ummidon ke diye bujh jaen

    kaun lekin dil insan ki tapish chhin sake

    phir naya sal dabe panw chala aaya hai

    kitni barik hai ye subh ki pahli kiran

    kaun jaane ki nai dam bhi kya laegi

    kan mein aaj bhi manus sada aati hai

    wahi dollar ka tilism

    wahi tahzib-o-tamaddun ke purane dawe

    wahi pasmanda mamalik ki taraqqi ka fareb

    wahi tariKH siyasat ke purane shatir

    atomi jang ka elan kiya karte hain

    kaun lekin dil-e-insan ki tapish chhin sake

    irtiqa aahan-o-faulad se kis tarah ruke

    TuT jaenge mah-o-sal ke phaile hue jal

    phir naya sal dabe panw chala aata hai

    jao tarik makanon mein charaghan kar do

    aaj zanjir ki ek aur kaDi TuT gai

    aaj duniya ke awam

    apne sine se lagae hue apni tariKH

    apne hathon mein nae ahd ka farman liye

    ek nai rah pe baDhte hi chale jate hain

    roz-o-shab jaise andhere mein luTeron ke giroh

    hath bandhe hue qadmon pe jabinen rakh den

    phir naya sal dabe panw chala aaya hai

    jao tarik makanon mein charaghan kar do

    Source :
    • Book : Aina Khane (Pg. 82)
    • Author : Akhtar payami
    • Publication : Zain Publications (2004)
    • Edition : 2004

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now