naya sal
sahar ne masarrat kā naġhma sunāyā
fazā ne gulistāñ kā dāman sajāyā
havāoñ ne aḳhlāq kā giit gaaea
nigāhoñ se maazī kā parda uThāyā
nayā saal aaya nayā saal aaya
masarrat masarrat ke gun gā rahī hai
musāvāt ke phuul barsā rahī hai
sadā-e-salāmat-ravī aa rahī hai
zamīñ muskurā.ī falak muskurāyā
nayā saal aaya nayā saal aaya
ye hindostāñ ek āvāz hogā
ab insān insān kā dam-sāz hogā
na.e daur kā phir se āġhāz hogā
nayā san na.ī rut kā paiġhām laayā
nayā saal aaya nayā saal aaya
ta.assub kī parchhā.iyāñ ab na hoñgī
vo pichhlī saf-ārā.iyāñ ab na hoñgī
zamāne meñ rusvā.iyāñ ab na hoñgī
mohabbat kā māhaul har samt chhāyā
nayā saal aaya nayā saal aaya
na ā.inda aapas meñ raḳhne paḌeñge
na ā.inda apnī zidoñ par aḌeñge
'la.īq' ab na aapas meñ insāñ laḌeñge
yakum january ne ye muzhda sunāyā
nayā saal aaya nayā saal aaya
sahar ne masarrat ka naghma sunaya
faza ne gulistan ka daman sajaya
hawaon ne aKHlaq ka git gaea
nigahon se mazi ka parda uThaya
naya sal aaya naya sal aaya
masarrat masarrat ke gun ga rahi hai
musawat ke phul barsa rahi hai
sada-e-salamat-rawi aa rahi hai
zamin muskurai falak muskuraya
naya sal aaya naya sal aaya
ye hindostan ek aawaz hoga
ab insan insan ka dam-saz hoga
nae daur ka phir se aaghaz hoga
naya san nai rut ka paigham laya
naya sal aaya naya sal aaya
tassub ki parchhaiyan ab na hongi
wo pichhli saf-araiyan ab na hongi
zamane mein ruswaiyan ab na hongi
mohabbat ka mahaul har samt chhaya
naya sal aaya naya sal aaya
na aainda aapas mein raKHne paDenge
na aainda apni zidon par aDenge
'laiq' ab na aapas mein insan laDenge
yakum january ne ye muzhda sunaya
naya sal aaya naya sal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.