naya safar hai purane charag gul kar do
fareb-e-jannat-e-fardā ke jaal TuuT ga.e
hayāt apnī umīdoñ pe sharmsār sī hai
chaman meñ jashn-e-varūd-e-bahār ho bhī chukā
magar nigāh-e-gul-o-lāla sogvār sī hai
fazā meñ garm bagūloñ kā raqs jaarī hai
ufuq pe ḳhuun kī miinā chhalak rahī hai abhī
kahāñ kā mahr-e-munavvar kahāñ kī tanvīreñ
ki bām-o-dar pe siyāhī jhalak rahī hai abhī
fazā.eñ soch rahī haiñ ki ibn-e-ādam ne
ḳhirad gañvā ke junūñ aazmā ke kyā paayā
vahī shikast-e-tamannā vahī ġham-e-ayyām
nigār-e-zīst ne sab kuchh luTā ke kyā paayā
bhaTak ke rah ga.iiñ nazreñ ḳhalā kī vus.at meñ
harīm-e-shāhid-e-rā.anā kā kuchh pata na milā
tavīl rāhguzar ḳhatm ho ga.ī lekin
hanūz apnī masāfat kā muntaha na milā
safar-nasīb rafīqo qadam baḌhā.e chalo
purāne rāh-numā lauT kar na dekheñge
tulū-e-sub.h se tāroñ kī maut hotī hai
shaboñ ke rāj-dulāre idhar na dekheñge
fareb-e-jannat-e-farda ke jal TuT gae
hayat apni umidon pe sharmsar si hai
chaman mein jashn-e-warud-e-bahaar ho bhi chuka
magar nigah-e-gul-o-lala sogwar si hai
faza mein garm bagulon ka raqs jari hai
ufuq pe KHun ki mina chhalak rahi hai abhi
kahan ka mahr-e-munawwar kahan ki tanwiren
ki baam-o-dar pe siyahi jhalak rahi hai abhi
fazaen soch rahi hain ki ibn-e-adam ne
KHirad ganwa ke junun aazma ke kya paya
wahi shikast-e-tamanna wahi gham-e-ayyam
nigar-e-zist ne sab kuchh luTa ke kya paya
bhaTak ke rah gain nazren KHala ki wusat mein
harim-e-shahid-e-raana ka kuchh pata na mila
tawil rahguzar KHatm ho gai lekin
hanuz apni masafat ka muntaha na mila
safar-nasib rafiqo qadam baDhae chalo
purane rah-numa lauT kar na dekhenge
tulu-e-subh se taron ki maut hoti hai
shabon ke raj-dulare idhar na dekhenge
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 127)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.