naya sajda
zindagī kī kahānī meñ
ek aisā bhī kirdār nibhā.eñ
ki kāsa-e-jāñ meñ aisī ḳhairāt mile
ki ham andar se sañvar jaa.eñ
aur an-ginat hoñToñ ke ġhāroñ meñ
hamāre naam se
duāoñ ke itne diip jaleñ
ki hamāre muqaddar ke jahāñ meñ
ghaat lagā.e tārīkiyoñ ke lashkar
raushnī ko sajda kar ke
apnī haar kā elaan kareñ
zindagi ki kahani mein
ek aisa bhi kirdar nibhaen
ki kasa-e-jaan mein aisi KHairaat mile
ki hum andar se sanwar jaen
aur an-ginat honTon ke ghaaron mein
hamare nam se
duaon ke itne dip jalen
ki hamare muqaddar ke jahan mein
ghat lagae tarikiyon ke lashkar
raushni ko sajda kar ke
apni haar ka elan karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.