naya tarana
ye apnā vatan hai apnā vatan hai apne vatan se pyaar hameñ
is des ke har zarre meñ nazar aatā hai nayā sansār hameñ
is des kā paanī chāñdī hai is des kī miTTī sonā hai
bharpūr hasīñ nazzāroñ se is des kā konā konā hai
ye apnā vatan hai apnā vatan hai apne vatan se pyaar hameñ
is des ke har zarre meñ nazar aatā hai nayā sansār hameñ
is des meñ jamunā bahtī hai is des meñ gañgā lahrātī
barsāt meñ is kī mast pavan kyā giit suhāne hai gaatī
ye apnā vatan hai apnā vatan hai apne vatan se pyaar hameñ
is des ke har zarre meñ nazar aatā hai nayā sansār hameñ
ye des ajantā elora kā ye tāj-mahal kā gahvāra
ye sub.h-e-banaras shām-e-avadh kashmīr kā dilkash nazzāra
ye apnā vatan hai apnā vatan hai apne vatan se pyaar hameñ
is des ke har zarre meñ nazar aatā hai nayā sansār hameñ
vo koh himāla is meñ hai ākāsh se bāteñ kartā hai
vo is kī shaan baḌhātā hai vo is kī hifāzat kartā hai
ye apnā vatan hai apnā vatan hai apne vatan se pyaar hameñ
is des ke har zarre meñ nazar aatā hai nayā sansār hameñ
is des kī izzat kyuuñ na kareñ ye des hai gāñdhī baapū kā
is des se kyuuñ na pyaar hameñ ye des hai chāchā nehru kā
ye apnā vatan hai apnā vatan hai apne vatan se pyaar hameñ
is des ke har zarre meñ nazar aatā hai nayā sansār hameñ
āzād isī ke sevak the zākir the isī ke rakhvāle
ek prem nagar hai des hai apnā milte haiñ isī meñ dil vaale
ye apnā vatan hai apnā vatan hai apne vatan se pyaar hameñ
is des ke har zarre meñ nazar aatā hai nayā sansār hameñ
ye des use apnā.egā jo dil se is ko chāhegā
is des ke jo kaam aa.egā vo mar ke amar ho jā.egā
ye apnā vatan hai apnā vatan hai apne vatan se pyaar hameñ
is des ke har zarre meñ nazar aatā hai nayā sansār hameñ
ye apna watan hai apna watan hai apne watan se pyar hamein
is des ke har zarre mein nazar aata hai naya sansar hamein
is des ka pani chandi hai is des ki miTTi sona hai
bharpur hasin nazzaron se is des ka kona kona hai
ye apna watan hai apna watan hai apne watan se pyar hamein
is des ke har zarre mein nazar aata hai naya sansar hamein
is des mein jamuna bahti hai is des mein ganga lahraati
barsat mein is ki mast pawan kya git suhane hai gati
ye apna watan hai apna watan hai apne watan se pyar hamein
is des ke har zarre mein nazar aata hai naya sansar hamein
ye des ajanta elora ka ye taj-mahal ka gahwara
ye subh-e-banaras sham-e-awadh kashmir ka dilkash nazzara
ye apna watan hai apna watan hai apne watan se pyar hamein
is des ke har zarre mein nazar aata hai naya sansar hamein
wo koh himala is mein hai aakash se baaten karta hai
wo is ki shan baDhata hai wo is ki hifazat karta hai
ye apna watan hai apna watan hai apne watan se pyar hamein
is des ke har zarre mein nazar aata hai naya sansar hamein
is des ki izzat kyun na karen ye des hai gandhi bapu ka
is des se kyun na pyar hamein ye des hai chacha nehru ka
ye apna watan hai apna watan hai apne watan se pyar hamein
is des ke har zarre mein nazar aata hai naya sansar hamein
aazad isi ke sewak the zakir the isi ke rakhwale
ek prem nagar hai des hai apna milte hain isi mein dil wale
ye apna watan hai apna watan hai apne watan se pyar hamein
is des ke har zarre mein nazar aata hai naya sansar hamein
ye des use apnaega jo dil se is ko chahega
is des ke jo kaam aaega wo mar ke amar ho jaega
ye apna watan hai apna watan hai apne watan se pyar hamein
is des ke har zarre mein nazar aata hai naya sansar hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.