nazara darmiyan hai
koī mujh se kahtā hai sargoshiyoñ meñ
kabhī ā.īne ko
sañvāro sajāo to dekho
ki is aa.ine meñ tumhāre sivā
aur koī nahīñ hai
ye parchhā.iyāñ ye shabīheñ
to sab aks haiñ
un zamānoñ kā aise maazī kā
tārīḳh jis ko apnā banāne se
inkār kartī hai
ki is meñ koī aks jhūTā nahīñ hai
magar sach bhī to is kahānī kā ek nahīñ hai
tumhārā tasavvur
tumhārā taḳhayyul to ek devtā hai
vahī devtā jo azal se
mohabbat kā markaz
mohabbat kā mehvar rahā hai
baḌī sādhnā se lagan se
duāoñ se
us ko bulāyā
ki ā.īna raushan ho
aañkh us ko dekhe
magar kis ko dekhe
ki jab bhī ye ā.īna raushan huā hai
mirā aks ḳhud
merī āñkhoñ kā parda banā hai
koi mujh se kahta hai sargoshiyon mein
kabhi aaine ko
sanwaro sajao to dekho
ki is aaine mein tumhaare siwa
aur koi nahin hai
ye parchhaiyan ye shabihen
to sab aks hain
un zamanon ka aise mazi ka
tariKH jis ko apna banane se
inkar karti hai
ki is mein koi aks jhuTa nahin hai
magar sach bhi to is kahani ka ek nahin hai
tumhaara tasawwur
tumhaara taKHayyul to ek dewta hai
wahi dewta jo azal se
mohabbat ka markaz
mohabbat ka mehwar raha hai
baDi sadhna se lagan se
duaon se
us ko bulaya
ki aaina raushan ho
aankh us ko dekhe
magar kis ko dekhe
ki jab bhi ye aaina raushan hua hai
mera aks KHud
meri aankhon ka parda bana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.