Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar-nazar mein Dar kar dil-o-jigar pe war kar

Sada Ambalvi

nazar-nazar mein Dar kar dil-o-jigar pe war kar

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    nazar-nazar meñ Daar kar dil-o-jigar pe vaar kar

    ḳhud bhī be-qarār ho mujhe bhī be-qarār kar

    hai pyaar gar gunāh to gunāh bār-bār kar

    hasīñ hai kis qadar hasīñ samāñ ye dekh ham-nashīñ

    ‘ufuq pe āsmān se gale hai mil rahī zamīñ

    mujhe bhī bas isī tarah sanam ham-kanār kar

    hai pyaar gar gunāh to gunāh bār-bār kar

    vo sāġhar-e-sharāb ho ki bahr-e-‘ishq dil-rubā

    kahāñ hai tairne meñ vo jo Dūbne meñ hai maza

    Dūb-Dūb duub hijāb sab utaar kar

    hai pyaar gar gunāh to gunāh bār-bār kar

    na fikr kar jahān na aan na baan

    ahl-e-shauq hai to kyoñ ḳhayāl jhūTī shaan

    jahāñ huā ‘adū to kyā ḳhud pe e’tibār kar

    hai pyaar gar gunāh to gunāh bār-bār kar

    chhupā na rāz-e-'ishq ab jalā na dil ko be-sabab

    na baiTh yuuñ muhr-ba-lab batā de dil baat sab

    zabāñ se hai muhāl to nazar se āshkār kar

    hai pyaar gar gunāh to gunāh bār-bār kar

    mujh ko sameT le mujh meñ simaT sanam

    bhulā bhulā bhulā sanam bhulā de saare ranj-o-ġham

    na fikr-e-rozgār kar sirf pyaar pyaar kar

    hai pyaar gar gunāh to gunāh bār-bār kar

    nazar-nazar mein Dar kar dil-o-jigar pe war kar

    tu KHud bhi be-qarar ho mujhe bhi be-qarar kar

    hai pyar gar gunah to gunah bar-bar kar

    hasin hai kis qadar hasin saman ye dekh ham-nashin

    ‘ufuq pe aasman se gale hai mil rahi zamin

    mujhe bhi bas isi tarah sanam tu ham-kanar kar

    hai pyar gar gunah to gunah bar-bar kar

    wo saghar-e-sharab ho ki bahr-e-‘ishq dil-ruba

    kahan hai tairne mein wo jo Dubne mein hai maza

    tu Dub-Dub dub ja hijab sab utar kar

    hai pyar gar gunah to gunah bar-bar kar

    na fikr kar jahan ka na aan ka na ban ka

    tu ahl-e-shauq hai to kyon KHayal jhuTi shan ka

    jahan hua ‘adu to kya tu KHud pe e’tibar kar

    hai pyar gar gunah to gunah bar-bar kar

    chhupa na raaz-e-'ishq ab jala na dil ko be-sabab

    na baiTh yun muhr-ba-lab bata de dil ki baat sab

    zaban se hai muhaal to nazar se aashkar kar

    hai pyar gar gunah to gunah bar-bar kar

    ya mujh ko tu sameT le ya mujh mein tu simaT sanam

    bhula bhula bhula sanam bhula de sare ranj-o-gham

    na fikr-e-rozgar kar tu sirf pyar pyar kar

    hai pyar gar gunah to gunah bar-bar kar

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ghulam Abbas Khan

    Ghulam Abbas Khan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now