nazar
nazar nazar kā fareb har sū
uThe to sahrā pe phail jaa.e
jhuke to ik gahrī jhiil
bādal-sifat ye barkhā kī ek rim-jhim
jo pyaar ho to ye chāñdnī hai
nazar nazar kā fareb
lekin nazar haqīqat
nazar jhapakne meñ taḳht-e-bilqīs sāmne ho
nazar ke jaadū se jism patthar
nazar ke pur-tāb nuur se koh-e-tūr-e-sīnā bhī reza reza
nazar nazar kā fareb
lekin nazar haqīqat
mire hī tār-e-nazar se
dhartī pe surma.ī chhat tanī huī hai
nazar nazar ka fareb har su
uThe to sahra pe phail jae
jhuke to ek gahri jhil
baadal-sifat ye barkha ki ek rim-jhim
jo pyar ho to ye chandni hai
nazar nazar ka fareb
lekin nazar haqiqat
nazar jhapakne mein taKHt-e-bilqis samne ho
nazar ke jadu se jism patthar
nazar ke pur-tab nur se koh-e-tur-e-sina bhi reza reza
nazar nazar ka fareb
lekin nazar haqiqat
mere hi tar-e-nazar se
dharti pe surmai chhat tani hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.