nazm
agar qaum kī hai taraqqī kī ḳhvāhish
suno kaan dhar ke hamārī guzārish
ġhurūr-o-havas kā namūna amīrī
baḌī is se hindostāñ meñ faqīrī
tavañgar vahī hai jo rahtā hai qaane
ġharīboñ kī ḳhidmat na ho jis ko maane
ġharīboñ se hans hans ke karte haiñ nafrat
samajhte haiñ apne ko haqdār daulat
sazā-vār un ko amīrī nahīñ hai
jinheñ ādat-e-dast-gīrī nahīñ hai
tavañgar ġharīboñ pe kyoñ nukta-chīñ haiñ
ġharībī kisī kā gunāh to nahīñ hai
bhare haiñ jo daulat se tum ne ḳhazāne
karo qaa.em us se yahāñ kār-ḳhāne
ghaTegī nahīñ is se daulat tumhārī
baḌhegī ġharīboñ meñ izzat tumhārī
ġharīboñ ko mehnat kā pesha milegā
dūkānoñ pe savdeshī saudā milegā
taraqqī hai qaum-o-vatan kī isī se
bahāreñ haiñ apne vatan kī isī se
jo gahrā.iyoñ meñ ye paanī ravāñ hai
karo is se sairāb sahrā jo yaañ hai
agar qaum ki hai taraqqi ki KHwahish
suno kan dhar ke hamari guzarish
ghurur-o-hawas ka namuna amiri
baDi is se hindostan mein faqiri
tawangar wahi hai jo rahta hai qane
gharibon ki KHidmat na ho jis ko mane
gharibon se hans hans ke karte hain nafrat
samajhte hain apne ko haqdar daulat
saza-war un ko amiri nahin hai
jinhen aadat-e-dast-giri nahin hai
tawangar gharibon pe kyon nukta-chin hain
gharibi kisi ka gunah to nahin hai
bhare hain jo daulat se tum ne KHazane
karo qaem us se yahan kar-KHane
ghaTegi nahin is se daulat tumhaari
baDhegi gharibon mein izzat tumhaari
gharibon ko mehnat ka pesha milega
dukanon pe sawdeshi sauda milega
taraqqi hai qaum-o-watan ki isi se
bahaaren hain apne watan ki isi se
jo gahraiyon mein ye pani rawan hai
karo is se sairab sahra jo yan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.