nazm
bahut zarūrī baat ik tum se karnā thī
lekin tum ko jaldī bahut thī jaane kī
kahnā ye thā ham to mashriq maġhrib haiñ
mere haañ to koī drawing-rōm nahīñ
koī bairā na koī baTlar na koī māmāñ-shāmāñ
koī garage na koī car koī driver na ḳhānsāmāñ
ek hī kamra hai jo merī study bhī hai bedrōm bhī hai aur
drawing-rōm bhī merā
maiñ ik kamre meñ rahtā huuñ
apne andar rahtā huuñ
apne andar rah kar bhī maiñ ik duniyā meñ rahtā huuñ
jabhī kahā thā ham to mashriq maġhrib haiñ
mashriq maġhrib meñ jo farq hai
ye vo ġhulām hī jāneñ
do Dhaa.ī sau saal ġhulāmī kī jo beḌiyāñ
kāTte kāTte qabroñ meñ jā so.e
haa.e allāh un jaisā bad-qismat koī aur yahāñ
na hue
achchhā kiyā tum chalī ga.iiñ
merī bātoñ meñ kuchh talḳhī aa ga.ī hai
tere aabā ne mere aabā par jo zulm kiyā hai
vo to merī maañ ke duudh ne mujhe virāsat
meñ baḳhshā hai
bahut zaruri baat ek tum se karna thi
lekin tum ko jaldi bahut thi jaane ki
kahna ye tha hum to mashriq maghrib hain
mere han to koi drawing-room nahin
koi baira na koi baTlar na koi maman-shaman
koi garage na koi car koi driwer na KHansaman
ek hi kamra hai jo meri study bhi hai bedroom bhi hai aur
drawing-room bhi mera
main ek kamre mein rahta hun
apne andar rahta hun
apne andar rah kar bhi main ek duniya mein rahta hun
jabhi kaha tha hum to mashriq maghrib hain
mashriq maghrib mein jo farq hai
ye wo ghulam hi jaanen
do Dhai sau sal ghulami ki jo beDiyan
kaTte kaTte qabron mein ja soe
hae allah un jaisa bad-qismat koi aur yahan
na hue
achchha kiya tum chali gain
meri baaton mein kuchh talKHi aa gai hai
tere aaba ne mere aaba par jo zulm kiya hai
wo to meri man ke dudh ne mujhe wirasat
mein baKHsha hai
- Book : Rag-e-jan (Pg. 69)
- Author : Ahmad Rahi
- Publication : Al-Hamd Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.