nazm
ai ḳhudā tere sahīfoñ meñ yahī likkhā hai
tū ne paidā hai kiyā sab ko hī ik fitrat par
dahr meñ aatā hai har bachcha isī fitrat par
phir zarā ye bhī batā de ki vo fitrat kyā hai
kuchh batāte hī nahīñ haiñ ye tire nau-maulūd
itne rastoñ meñ bhalā kaun sā vo rasta hai
fitratoñ meñ se bhalā kaun sī vo fitrat hai
kaun zālim thā ki jis ne tirī fitrat chhoḌī
kaun the log ki jin logoñ ne raste badle
kyā ye behtar na thā ik raah pe qaa.em rahte
kyā ye achchhā na thā bas ek hī manzil hotī
kam se kam hotī zamāne meñ na bejā tafrīq
kam se kam log ḳhudā ko to na rusvā karte
kam se kam buġhz na hotā yuuñ kisī ke diiñ se
kam se kam log payambar ko ḳhudā na kahte
kaash hotā na zamāne meñ yuuñ adyān kā farq
nasl kā chehre kā ḳhad-ḳhāl kā pahchān kā farq
ahl-e-hindū kā masīhī kā musalmān kā farq
dahr ke bejā aqā.ed kā aur īmān kā farq
is se pahle ki mirī jaan hī le leñ ye savāl
ai ḳhudā bhej de ab āḳhirī us haadī ko
jis ke aane pe hai īmān har ik maz.hab kā
aur phir vo hī batā.e ki vo fitrat kyā hai
jis pe paidā hai kiyā tū ne har ik insāñ ko
ai KHuda tere sahifon mein yahi likkha hai
tu ne paida hai kiya sab ko hi ek fitrat par
dahr mein aata hai har bachcha isi fitrat par
phir zara ye bhi bata de ki wo fitrat kya hai
kuchh batate hi nahin hain ye tere nau-maulud
itne raston mein bhala kaun sa wo rasta hai
fitraton mein se bhala kaun si wo fitrat hai
kaun zalim tha ki jis ne teri fitrat chhoDi
kaun the log ki jin logon ne raste badle
kya ye behtar na tha ek rah pe qaem rahte
kya ye achchha na tha bas ek hi manzil hoti
kam se kam hoti zamane mein na beja tafriq
kam se kam log KHuda ko to na ruswa karte
kam se kam bughz na hota yun kisi ke din se
kam se kam log payambar ko KHuda na kahte
kash hota na zamane mein yun adyan ka farq
nasl ka chehre ka KHad-KHal ka pahchan ka farq
ahl-e-hindu ka masihi ka musalman ka farq
dahr ke beja aqaed ka aur iman ka farq
is se pahle ki meri jaan hi le len ye sawal
ai KHuda bhej de ab aaKHiri us hadi ko
jis ke aane pe hai iman har ek mazhab ka
aur phir wo hi batae ki wo fitrat kya hai
jis pe paida hai kiya tu ne har ek insan ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.