nazm apnon ki talash
us ne jab pahlā hamla kiyā
to maiñ chup rahā
kyūñki maiñ mahfūz thā
us ne jab dūsrā hamla kiyā
tau maiñ thoḌā sā sochne lagā lekin chup rahā
kyūñki maiñ mahfūz thā
phir merī ḳhud-ġharzī ne mujhe be his kar diyā
vo lagātār hamla kartā rahā aur
maiñ lagātār ḳhud ko mahfūz samajh kar chup rahā
na sirf chup rahā balki
hamesha apne hī logoñ ko
jazbātī aur be-sabr kahtā rahā
magar
ab jabki merī ḳhud-sāḳhta soch ke saath saath
merī gardan bhī apnī marzī se hil nahīñ saktī hai
to merā zamīr bār-bār kos rahā hai
ki tū na ab apnoñ kā rahā na ġhairoñ kā
kyūñki tū apnoñ kī ḳhūbiyoñ ko nazar-andāz kartā rahā
aur ġhairoñ kī ḳhāmiyoñ ko bahāna-bāzī se pasand kartā rahā
ab merā vajūd gum ho chukā hai
kyūñki
maiñ apnoñ se duur ho kar sarāb ke chashmoñ meñ
apnoñ kī sūrateñ talāsh kar rahā huuñ
us ne jab pahla hamla kiya
to main chup raha
kyunki main mahfuz tha
us ne jab dusra hamla kiya
tau main thoDa sa sochne laga lekin chup raha
kyunki main mahfuz tha
phir meri KHud-gharzi ne mujhe be his kar diya
wo lagatar hamla karta raha aur
main lagatar KHud ko mahfuz samajh kar chup raha
na sirf chup raha balki
hamesha apne hi logon ko
jazbaati aur be-sabr kahta raha
magar
ab jabki meri KHud-saKHta soch ke sath sath
meri gardan bhi apni marzi se hil nahin sakti hai
to mera zamir bar-bar kos raha hai
ki tu na ab apnon ka raha na ghairon ka
kyunki tu apnon ki KHubiyon ko nazar-andaz karta raha
aur ghairon ki KHamiyon ko bahana-bazi se pasand karta raha
ab mera wajud gum ho chuka hai
kyunki
main apnon se dur ho kar sarab ke chashmon mein
apnon ki suraten talash kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.