nazm
raat ke phailte sannāToñ meñ
dil ke zindān meñ ik yaad kā dīpak sā jalā
faḌfaḌātī hai bahut lau us kī
vādī-e-hijr se aatī haiñ sadā.eñ jitnī
us ke siine meñ bahut gūñjtī haiñ
ism-e-hijrat se ajab sabz huā hai zindāñ
ik sakūñ hai ki jo vahshat meñ bhī āsūda hai
raat ke phailte sannaTon mein
dil ke zindan mein ek yaad ka dipak sa jala
faDfaDati hai bahut lau us ki
wadi-e-hijr se aati hain sadaen jitni
us ke sine mein bahut gunjti hain
ism-e-hijrat se ajab sabz hua hai zindan
ek sakun hai ki jo wahshat mein bhi aasuda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.