nazm bahut aasan thi pahle
nazm bahut āsān thī pahle
ghar ke aage
pīpal kī shāḳhoñ se uchhal ke
aate jaate
bachchoñ ke bastoñ se nikal ke
rañg-ba-rañgī
chiḌiyoñ kī chahkār meñ Dhal ke
nazm mire ghar jab aatī thī
mere qalam se, jaldī jaldī
ḳhud ko puurā likh jaatī hai
ab sab manzar
badal chuke haiñ
chhoTe chhoTe chaurāhoñ se
chauḌe raste nikal chuke haiñ
na.e na.e bāzār
purāne galī mohalle nigal chuke haiñ
nazm se mujh tak
ab kosoñ lambī duurī hai
in kosoñ lambī duurī meñ
kahīñ achānak
bam phaTte haiñ
kokh meñ maaoñ ke
sote bachche kaTte haiñ
maz.hab aur siyāsat
donoñ
na.e na.e naare raTte haiñ
bahut se shahroñ
bahut se mulkoñ se
ab chal kar
nazm mire ghar jab aatī hai
itnī ziyāda thak jaatī hai
mere likhne kī Table par
ḳhālī kāġhaz ko
ḳhālī hī chhoḌ ke ruḳhsat ho jaatī hai
aur kisī fōtpath pe jā kar
shahr ke sab se būḌhe shahrī kī
palkoñ par!
aañsū ban kar so jaatī hai
nazm bahut aasan thi pahle
ghar ke aage
pipal ki shaKHon se uchhal ke
aate jate
bachchon ke baston se nikal ke
rang-ba-rangi
chiDiyon ki chahkar mein Dhal ke
nazm mere ghar jab aati thi
mere qalam se, jaldi jaldi
KHud ko pura likh jati hai
ab sab manzar
badal chuke hain
chhoTe chhoTe chaurahon se
chauDe raste nikal chuke hain
nae nae bazar
purane gali mohalle nigal chuke hain
nazm se mujh tak
ab koson lambi duri hai
in koson lambi duri mein
kahin achanak
bam phaTte hain
kokh mein maon ke
sote bachche kaTte hain
mazhab aur siyasat
donon
nae nae nare raTte hain
bahut se shahron
bahut se mulkon se
ab chal kar
nazm mere ghar jab aati hai
itni ziyaada thak jati hai
mere likhne ki Table par
KHali kaghaz ko
KHali hi chhoD ke ruKHsat ho jati hai
aur kisi footpath pe ja kar
shahr ke sab se buDhe shahri ki
palkon par!
aansu ban kar so jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.