nazm bane
hijr ke tapte hue sahrā meñ
koī bīmār shifāyāb na ho paa.e use
āḳhirī hichkī meñ dīdār-e-sanam ho to kahīñ nazm bane
ujḌe āñgan ke ahāte meñ terī aamad ho
aur bahāroñ ke vajūdoñ pe na.e rang khileñ
duur be-nūr sī āñkhoñ pe koī kurtā lage
nazm bane
raat vahshat se bharī
jis meñ gaḌe haiñ har-sū
ek tanhā.ī ke panjoñ ke azaab
kaan banjar the magar
duur kahīñ
bāñsurī se nayā ik saaz ubharte hī hañse
nazm bane
saare rang apnī ye rangīniyāñ kho deñ aur phir
terī ik chashm-e-karam paḌte hī jalve bikhreñ
āsmānoñ se ufuq-tāb dhanak juuñ utre
nazm bane
sachche jazboñ se bharī koī hasīñ shahzādī
vaar baiThe kisī jhūTe pe vafā.eñ apnī
patthar āñkhoñ se jūñhī ashk gire
nazm bane
hijr ke tapte hue sahra mein
koi bimar shifayab na ho pae use
aaKHiri hichki mein didar-e-sanam ho to kahin nazm bane
ujDe aangan ke ahate mein teri aamad ho
aur bahaaron ke wajudon pe nae rang khilen
dur be-nur si aankhon pe koi kurta lage
nazm bane
raat wahshat se bhari
jis mein gaDe hain har-su
ek tanhai ke panjon ke azab
kan banjar the magar
dur kahin
bansuri se naya ek saz ubharte hi hanse
nazm bane
sare rang apni ye ranginiyan kho den aur phir
teri ek chashm-e-karam paDte hi jalwe bikhren
aasmanon se ufuq-tab dhanak jun utre
nazm bane
sachche jazbon se bhari koi hasin shahzadi
war baiThe kisi jhuTe pe wafaen apni
patthar aankhon se junhi ashk gire
nazm bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.