nazm
dard-o-yās meñ Duubī huī
shiddat-e-ehsās se laraztī huī
kyā tum merī āvāz sun rahī ho shānū
sub.h kī taaza havā
shaam ke Dhalte saa.e
surma.ī dhuup kī
mīThī mīThī sī tapish
phuul shabnam shafaq aabjū chāñdnī
ye sab tumhāre baare meñ
mujh se savāl karte haiñ
kabhī tum milo to tum se pūchhūñ
ki mujhe kyā javāb denā hai
in se ye kaise kah duuñ
vo jo har dam us ke qarīb rahtī thī
aaj apne 'aḳhtar' ko bhuul baiThī hai
dard-o-yas mein Dubi hui
shiddat-e-ehsas se larazti hui
kya tum meri aawaz sun rahi ho shanu
subh ki taza hawa
sham ke Dhalte sae
surmai dhup ki
miThi miThi si tapish
phul shabnam shafaq aabju chandni
ye sab tumhaare bare mein
mujh se sawal karte hain
kabhi tum milo to tum se puchhun
ki mujhe kya jawab dena hai
in se ye kaise kah dun
wo jo har dam us ke qarib rahti thi
aaj apne 'aKHtar' ko bhul baiThi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.