nazm
december kis liye āḳhir
hamesha ḳhaas lagtā hai
vo darjan-bhar mahīnoñ se
sadā mumtāz lagtā hai
december kis liye āḳhir
hamesha ḳhaas lagtā hai
bahut sahmī huī sub.heñ
udāsī se bharī shāmeñ
do-pahreñ roī roī sī
vo rāteñ khoī khoī sī
garm dabīz sho.aloñ kā
vo kam raushan ujāloñ kā
kabhī guzre havāloñ kā
kabhī mushkil savāloñ kā
bichhaḌ jaane kī māyūsī
milan kī aas lagtā hai
december kis liye āḳhir
hamesha ḳhaas lagtā hai
december kis liye aaKHir
hamesha KHas lagta hai
wo darjan-bhar mahinon se
sada mumtaz lagta hai
december kis liye aaKHir
hamesha KHas lagta hai
bahut sahmi hui subhen
udasi se bhari shamen
do-pahren roi roi si
wo raaten khoi khoi si
garm dabiz shoalon ka
wo kam raushan ujalon ka
kabhi guzre hawalon ka
kabhi mushkil sawalon ka
bichhaD jaane ki mayusi
milan ki aas lagta hai
december kis liye aaKHir
hamesha KHas lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.