nazm-e-KHayal
nā-shunīda sā.atoñ kā muntazir huuñ
anginat guzre hue lamhoñ kī chīḳheñ
naḳhl-e-jāñ kī sabz shāḳhoñ meñ sarāyat kar chukī haiñ
mere andar ek hangāma bapā hai
ek aisī be-ḳhudī taarī hai mujh par
maiñ ugaltā jā rahā huuñ
be-panah zaḳhmī sadāoñ kī harārat
sochtā huuñ
apnī ye pur-shor hastī
ik ġhinā.ī chaap ko sunñe kī ḳhātir
be-panah zaḳhmī sadāoñ kī harārat sah rahī hai
yā mire maujūd kī hassās jihatoñ meñ musalsal
vaqt kā sī-murġh apne bādbāñ kī
saarī girheñ kholtā hī jā rahā hai
ḳhvāb-zār-e-vaqt meñ kitne hī be-sāmāñ sisyphus
nā-shunīda sā.atoñ kī sar-bulandī chāhte haiñ
jin kī āñkhoñ meñ abhī
nīñdoñ kī bārish ho rahī hai
aur ik koh-e-tasavvur kī bulandī
zaat ke gahrāv kī jānib luḌhaktī jā rahī hai
mere shānoñ ke kaTore jal uThe haiñ
maiñ ugaltā jā rahā huuñ
be-panah zaḳhmī sadāoñ kī harārat
na-shunida saaton ka muntazir hun
anginat guzre hue lamhon ki chiKHen
naKHl-e-jaan ki sabz shaKHon mein sarayat kar chuki hain
mere andar ek hangama bapa hai
ek aisi be-KHudi tari hai mujh par
main ugalta ja raha hun
be-panah zaKHmi sadaon ki hararat
sochta hun
apni ye pur-shor hasti
ek ghinai chap ko sunne ki KHatir
be-panah zaKHmi sadaon ki hararat sah rahi hai
ya mere maujud ki hassas jihaton mein musalsal
waqt ka si-murgh apne baadban ki
sari girhen kholta hi ja raha hai
KHwab-zar-e-waqt mein kitne hi be-saman sisyphus
na-shunida saaton ki sar-bulandi chahte hain
jin ki aankhon mein abhi
nindon ki barish ho rahi hai
aur ek koh-e-tasawwur ki bulandi
zat ke gahraw ki jaanib luDhakti ja rahi hai
mere shanon ke kaTore jal uThe hain
main ugalta ja raha hun
be-panah zaKHmi sadaon ki hararat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.