nazm
ek aur añdherā
merī āñkhoñ meñ utar aaya hai
tum se vābasta
vishvās kī āḳhirī shaam bhī
mere ehsās ko lahūluhān kar ga.ī hai
kitnī be-mā'nī thī
in shahroñ ko judā karne vaalī
dīvār
sachchā.ī
raushnī ke ziine se gir kar
shabdoñ meñ chhupe hue zahr ko
rusvā kar ga.ī hai
ek aur añdherā
ek aur andhera
meri aankhon mein utar aaya hai
tum se wabasta
wishwas ki aaKHiri sham bhi
mere ehsas ko lahuluhan kar gai hai
kitni be-ma'ni thi
in shahron ko juda karne wali
diwar
sachchai
raushni ke zine se gir kar
shabdon mein chhupe hue zahr ko
ruswa kar gai hai
ek aur andhera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.