nazm
ek duuje pe aasrā kareñge
ham-safar dar-ba-dar rahā kareñge
chhoḌ deñge ye sciencī duniyā
ḳhud se technology judā kareñge
kohsāroñ kī ūñchī ġhāroñ meñ
ḳhāmushī se mukālima kareñge
itnā socheñge apne baare meñ
ḳhud ko insān se ḳhudā kareñge
tang paḌne lagī zamīn agar
āsmāñ se muāmla kareñge
biij bo.eñge phuul ugā.eñge
aur ye kaam jā-ba-jā kareñge
rah meñ rah jaane vaalī ḳhushbū kā
ham havā se mutālba kareñge
ḳhushk aḳhroT mausamī injīr
shahad paanī se nāshta kareñge
mausamoñ par kiyā kareñge yaqīñ
pāniyoñ par chalā phirā kareñge
dhuup meñ ūñghte pahāḌoñ ko
qahqahoñ se jagā diyā kareñge
jo parinda sunā.e kalima ḳhair
us ke haq meñ duā kiyā kareñge
bādaloñ se kareñge rāz-o-niyāz
dukh havā se kahā sunā kareñge
ham utāreñge shaam bastī par
raat ko din se ham judā kareñge
kis ne p hai sharāb ġhālib c
miir sā ishq log kyā kareñge
ek duje pe aasra karenge
ham-safar dar-ba-dar raha karenge
chhoD denge ye scienci duniya
KHud se technology juda karenge
kohsaron ki unchi ghaaron mein
KHamushi se mukalima karenge
itna sochenge apne bare mein
KHud ko insan se KHuda karenge
tang paDne lagi zamin agar
aasman se muamla karenge
bij boenge phul ugaenge
aur ye kaam ja-ba-ja karenge
rah mein rah jaane wali KHushbu ka
hum hawa se mutalba karenge
KHushk aKHroT mausami injir
shahad pani se nashta karenge
mausamon par kiya karenge yaqin
paniyon par chala phira karenge
dhup mein unghte pahaDon ko
qahqahon se jaga diya karenge
jo parinda sunae kalima KHair
us ke haq mein dua kiya karenge
baadalon se karenge raaz-o-niyaz
dukh hawa se kaha suna karenge
hum utarenge sham basti par
raat ko din se hum juda karenge
kis ne p hai sharab ghaalib c
mir sa ishq log kya karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.