nazm
al-amāñ
tāziyāne gunahgār hāthoñ meñ haiñ be-gunāhoñ kī ḳhair
vo jo qaazī adālat gavāh o sanad ilm-o-dānish aur tahrīr se munsalik ik rivāyat kī tahzīb thī
vo kahīñ kho ga.ī
ek lambā safar ruk gayā
kis liye ruk gayā
al-hazar
al-hazar! ye darinda-sifat niim vahshī mubtalā-e-junūñ tāziyāne liye
tāzyānoñ kī zad meñ taḌaptā badan ḳhuuñ ugaltā badan
kaisī kuchlī huī ḳhvāhishoñ vahshiyāna havas-kāriyoñ kā nishāna banā
kis jibillat kī taskīñ kā sāmāñ huā
al-madad al-madad ai ḳhudā!
tāziyāne gunahgār hāthoñ meñ haiñ
be-gunāhoñ kī ḳhair!
al-aman
taziyane gunahgar hathon mein hain be-gunahon ki KHair
wo jo qazi adalat gawah o sanad ilm-o-danish aur tahrir se munsalik ek riwayat ki tahzib thi
wo kahin kho gai
ek lamba safar ruk gaya
kis liye ruk gaya
al-hazar
al-hazar! ye darinda-sifat nim wahshi mubtala-e-junun taziyane liye
tazyanon ki zad mein taDapta badan KHun ugalta badan
kaisi kuchli hui KHwahishon wahshiyana hawas-kariyon ka nishana bana
kis jibillat ki taskin ka saman hua
al-madad al-madad ai KHuda!
taziyane gunahgar hathon mein hain
be-gunahon ki KHair!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.