jaatī huī mohabbat
aatī huī maut kī tarah lagtī hai
jaatī huī mohabbat ne
ghar ko makān meñ tabdīl kar diyā hai
ghar meñ aadmī sāñseñ jiitā hai
makān meñ aadmī sāñseñ gintā hai
yuuñ sāñsoñ kī gintī meñ
āḳhir-kār gintī kī sāñseñ rah jaatī haiñ
jati hui mohabbat
aati hui maut ki tarah lagti hai
jati hui mohabbat ne
ghar ko makan mein tabdil kar diya hai
ghar mein aadmi sansen jita hai
makan mein aadmi sansen ginta hai
yun sanson ki ginti mein
aaKHir-kar ginti ki sansen rah jati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.