nazm
tum ne dekhā thā us ke chehre ko
the kahīñ karb ke koī āsār
tum use maut kah rahe the magar
ḳhvāb-e-rāhat meñ vo to sotā thā
aur pasmāñdgān ke siine meñ
jis jahannam kī aag jaltī thī
juz ḳhudā kaun jaan saktā hai
saḳht hairat hai log is par bhī
mātam-e-marg kar rahe haiñ magar
mātam-e-zindagī nahīñ karte
tum ne dekha tha us ke chehre ko
the kahin karb ke koi aasar
tum use maut kah rahe the magar
KHwab-e-rahat mein wo to sota tha
aur pasmandgan ke sine mein
jis jahannam ki aag jalti thi
juz KHuda kaun jaan sakta hai
saKHt hairat hai log is par bhi
matam-e-marg kar rahe hain magar
matam-e-zindagi nahin karte
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 300)
- Author : ateequllah
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.