nazm
dair vīrāñ hai haram hai be-ḳharosh
barhaman chup hai muazzin hai ḳhamosh
soz hai ashlok meñ baaqī na saaz
ab vo ḳhutbe meñ na hiddat hai na josh
ho ga.ī be-sūd talqīn-e-savāb
ab dilā.eñ bhī to kyā ḳhauf-e-azāb
ab harīf-e-shaiḳh koī bhī nahīñ
ḳhatm hai har ek mauzū-e-ḳhitāb
aaj maddham sī hai āvāz-e-darūd
aaj jaltā hī nahīñ mandir meñ uud
kyā qayāmat hai yakāyak ho gayā
mahfil-e-zohhād par taarī jumūd
rabb-e-bar-haq ḳhāliq-e-ālī janāb
ho ga.e apne mission meñ kāmyāb
silsila rushd-o-hidāyat kā hai ḳhatm
āsmāñ se ab na utregī kitāb
mar gayā ai vaa.e shaitāñ mar gayā
dair viran hai haram hai be-KHarosh
barhaman chup hai muazzin hai KHamosh
soz hai ashlok mein baqi na saz
ab wo KHutbe mein na hiddat hai na josh
ho gai be-sud talqin-e-sawab
ab dilaen bhi to kya KHauf-e-azab
ab harif-e-shaiKH koi bhi nahin
KHatm hai har ek mauzu-e-KHitab
aaj maddham si hai aawaz-e-darud
aaj jalta hi nahin mandir mein ud
kya qayamat hai yakayak ho gaya
mahfil-e-zohhad par tari jumud
rabb-e-bar-haq KHaliq-e-ali janab
ho gae apne mission mein kaamyab
silsila rushd-o-hidayat ka hai KHatm
aasman se ab na utregi kitab
mar gaya ai wae shaitan mar gaya
- Book : Kulliyat Gopal Mittal (Pg. 82)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.