nazm
ye sach hai ham jise maslūb karne jā rahe haiñ
vo na rahzan hai na zaanī hai
magar ye jurm us kā kam nahīñ hai vo hamāre bad-diyānat shahr meñ
talqīn kartā hai diyānat kī
tumheñ ma.alūm hai
ham sab sharīk-e-jurm haiñ
ham sab ke chehroñ par siyāhī hai gunāhoñ kī
to kyuuñ na sruḳh-rū ho jaa.eñ dho kar us ke ḳhuuñ se
apne chehroñ kī siyāhī ko
ye sach hai hum jise maslub karne ja rahe hain
wo na rahzan hai na zani hai
magar ye jurm us ka kam nahin hai wo hamare bad-diyanat shahr mein
talqin karta hai diyanat ki
tumhein malum hai
hum sab sharik-e-jurm hain
hum sab ke chehron par siyahi hai gunahon ki
to kyun na sruKH-ru ho jaen dho kar us ke KHun se
apne chehron ki siyahi ko
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 302)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.