hamāre darmiyāñ abhī
hazār dūriyāñ sahī
dhaḌakte dil meñ hai mire
gumāñ yahī yaqīñ yahī
kahīñ se ho mirā guzar
ho koī rāsta magar
hai tū hī ibtidā mirī
hai tū hī intihā mirī
maiñ tere giit gaatā huuñ
jo halke se ḳhumār meñ
havā ghaTā ye titliyāñ
yuuñ jhūmtī haiñ pyaar meñ
ki jaise aa rahī ho tum
ye sun ke merī ik sadā
hai tū hī ibtidā mirī
hai tū hī intihā marī
uḌā ke le chale kahāñ
ye ḳhvāb kuchh hasīn se
sitāre aaj chhū liye
maiñ duur huuñ zamīn se
tū chāhe chāñd maañg le
hai saarī kahkashāñ mirī
hai tū hī ibtidā mirī
hai tū hī intihā mirī
bhaTakte bādaloñ sā huuñ
kabhī yahāñ kabhī vahāñ
milūñgā tum se maiñ magar
na jaane kab kahāñ kidhar
safar kī justujū rahe
ye aarzū baḌhā mirī
hai tū hī ibtidā mirī
hai tū hī intihā mirī
hamare darmiyan abhi
hazar duriyan sahi
dhaDakte dil mein hai mere
guman yahi yaqin yahi
kahin se ho mera guzar
ho koi rasta magar
hai tu hi ibtida meri
hai tu hi intiha meri
main tere git gata hun
jo halke se KHumar mein
hawa ghaTa ye titliyan
yun jhumti hain pyar mein
ki jaise aa rahi ho tum
ye sun ke meri ek sada
hai tu hi ibtida meri
hai tu hi intiha mari
uDa ke le chale kahan
ye KHwab kuchh hasin se
sitare aaj chhu liye
main dur hun zamin se
tu chahe chand mang le
hai sari kahkashan meri
hai tu hi ibtida meri
hai tu hi intiha meri
bhaTakte baadalon sa hun
kabhi yahan kabhi wahan
milunga tum se main magar
na jaane kab kahan kidhar
safar ki justuju rahe
ye aarzu baDha meri
hai tu hi ibtida meri
hai tu hi intiha meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.