nazm
har aadmī hai kisī justujū meñ bhaTkā huā
har ek shaḳhs ġham-e-lā-zavāl meñ gum hai
ye āftāb bhī TuuTā huā sā lagtā hai
ye kā.enāt bhī bikhrī huī sī lagtī hai
ye raushnī bhī hai tārīkiyoñ kī parvarda
ye zindagī bhī kisī kaalī raat jaisī hai
ye uljhaneñ ye masā.il ye rozgār ke ġham
ye husn-o-ishq kī bāteñ ye intizār ke ġham
baham haiñ aaj ye māzī-o-hāl-o-mustaqbil
mire shu.ūr kī rau meñ simaT ga.e jaise
mire sivā sabhī maujūd haiñ mire nazdīk
maiñ sab ko dekhtā rahtā huuñ apnī āñkhoñ se
bas ek maiñ huuñ jo ḳhud ko nazar nahīñ aatā
ye mere hone na hone kī ibtidā kyā thī
ye mere hone na hone kī intihā kyā hai
samajh meñ kuchh nahīñ aatā ki kis tarah se jiyūñ
falak pe ruuh mirī uḌ rahī hai sadiyoñ se
badan uThā.e hue hai abhī zamīn kā bojh
mire thake hue kāñdhe pe kaun rakhtā hai
kabhī gumān kī gaThrī kabhī yaqīn kā bojh
mire vajūd-o-adam kī ye jang to dekho
zarā ḳhudā kī ḳhudā.ī kā rang to dekho
har aadmi hai kisi justuju mein bhaTka hua
har ek shaKHs gham-e-la-zawal mein gum hai
ye aaftab bhi TuTa hua sa lagta hai
ye kaenat bhi bikhri hui si lagti hai
ye raushni bhi hai tarikiyon ki parwarda
ye zindagi bhi kisi kali raat jaisi hai
ye uljhanen ye masail ye rozgar ke gham
ye husn-o-ishq ki baaten ye intizar ke gham
baham hain aaj ye mazi-o-haal-o-mustaqbil
mere shuur ki rau mein simaT gae jaise
mere siwa sabhi maujud hain mere nazdik
main sab ko dekhta rahta hun apni aankhon se
bas ek main hun jo KHud ko nazar nahin aata
ye mere hone na hone ki ibtida kya thi
ye mere hone na hone ki intiha kya hai
samajh mein kuchh nahin aata ki kis tarah se jiyun
falak pe ruh meri uD rahi hai sadiyon se
badan uThae hue hai abhi zamin ka bojh
mere thake hue kandhe pe kaun rakhta hai
kabhi guman ki gaThri kabhi yaqin ka bojh
mere wajud-o-adam ki ye jang to dekho
zara KHuda ki KHudai ka rang to dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.