nazm
ik ishāre se dīvār-e-dil kī darāḌoñ meñ tū ne jo raushan kiye the charāġh
un ke bujhne kā dukh ek jaisā hai donoñ taraf
aaj bhī yaad hai duur se terī āvāz kānoñ meñ paḌtī to kuchh bhī sunā.ī na detā
kaash tū apne zindāñ se mujh ko rihā.ī na detā
kaun biite hue ḳhvāb par ḳhaak Daale
kaun itnī ġhalat-fahmiyoñ kā izāla kare
kis se pūchheñ vabā aur vafā meñ banā.e hue be-takalluf ta'alluq
kī umreñ agar muḳhtasar haiñ to kyoñ haiñ
kaun bhūle amāvas kī rātoñ sī zulfoñ kī rā’nā.iyāñ
kaun dil se hayā-dār āñkhoñ kī yādeñ miTā de
dost kis ko mafar hai yahāñ be-yaqīnī ke sail-e-balā se
dost kashtī sañbhālī nahīñ jā rahī ab tire nā-ḳhudā se
maiñ ne terī rifāqat meñ jitnī guzārī mire saath tere dilāse kī barsāt aur tere bole hue lafz kī har tasallī hamesha rahī hai
maiñ ne tārīk rahdāriyoñ meñ kabhī terī āñkhoñ kī kirnoñ kī be-faizagī kā gila kar liyā
mūnis-e-jān aisā bhī kyā kar liyā
ġham to tab thā ki maiñ tere jaane kā ġham bhī na kartā
mere din merī rāteñ tire sāmne haiñ
batā haath kab thāmne haiñ
ek ishaare se diwar-e-dil ki daraDon mein tu ne jo raushan kiye the charagh
un ke bujhne ka dukh ek jaisa hai donon taraf
aaj bhi yaad hai dur se teri aawaz kanon mein paDti to kuchh bhi sunai na deta
kash tu apne zindan se mujh ko rihai na deta
kaun bite hue KHwab par KHak Dale
kaun itni ghalat-fahmiyon ka izala kare
kis se puchhen waba aur wafa mein banae hue be-takalluf ta'alluq
ki umren agar muKHtasar hain to kyon hain
kaun bhule amawas ki raaton si zulfon ki ra’naiyan
kaun dil se haya-dar aankhon ki yaaden miTa de
dost kis ko mafar hai yahan be-yaqini ke sail-e-bala se
dost kashti sanbhaali nahin ja rahi ab tere na-KHuda se
main ne teri rifaqat mein jitni guzari mere sath tere dilase ki barsat aur tere bole hue lafz ki har tasalli hamesha rahi hai
main ne tarik rahdariyon mein kabhi teri aankhon ki kirnon ki be-faizagi ka gila kar liya
munis-e-jaan aisa bhi kya kar liya
gham to tab tha ki main tere jaane ka gham bhi na karta
mere din meri raaten tere samne hain
bata hath kab thamne hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.