nazm ittihad
fasl-e-bahār aa.ī magar ham haiñ aur ġham
har samt se haiñ ghere hue sadma-o-alam
aa.ī na uf zabāñ pe sitam par hue sitam
kyā imtihāñ ke vāste Thahre haiñ sirf ham
jab apnī quvvatoñ pe bharosā nahīñ rahā
behtar hai phir jahāñ se uThā le hameñ ḳhudā
is umr-e-chand-roza meñ kī laakh justujū
chhānī hai ham ne ḳhaak zamāne meñ kū-ba-kū
shikva adū kā kyā hai jab ahbāb haiñ adū
jiine kī ik second nahīñ ab to aarzū
ham ne samajh liyā ki jahāñ se guzar ga.e
jab dil hī mar gayā to sab armān mar ga.e
ham par girā.eñ charḳh ne is had pe bijliyāñ
dam-bhar meñ jal ke ḳhaak huiiñ saarī ustuḳhāñ
chaltī rahīñ havā-e-muḳhālif kī āñdhiyāñ
aatā nahīñ samajh meñ ki jā kar chhupeñ kahāñ
zer-e-zamīñ bhī chain kī ummīd ab nahīñ
phir kyā hai ye batā de koī gar ġhazab nahīñ
makr-o-fareb se jo kareñ zindagī basar
sau jaañ hazār dil se ho qurbān har bashar
din raat ham hoñ aur hoñ ahbāb-e-ḳhīra-sar
īmān-dāriyoñ meñ kaTī zindagī agar
har ek kī nigāh meñ bas ḳhaar ho ga.e
be-soñche-samjhe mustahiq-e-dār ho ga.e
da.avā to ye hai ham bhī musalmān haiñ zarūr
kalma jo pochhiye to nahīñ yaad hai huzūr
kyā ġham agar shikasta azīzoñ ke haiñ qubūr
terā ye is pe had se ziyāda hai kuchh ġhurūr
meloñ ke vāste jo talab ho to ḳhuub deñ
qaumī jo koī kaam ho to naam bhī na leñ
pūchhā agar ibādat-e-ḳhāliq hai koī chiiz
farmāyā dil meñ ye to nihāyat hai bad-tamīz
aiyyāshiyāñ jo kījiye to aap haiñ aziiz
ai qaum kāhilī hai tirī ghar kī ab kanīz
achchhī burī kā jab to nahīñ imtiyāz hai
be-mā.egī par apnī faqat tujh ko naaz hai
hushyār koī laakh kare to hai be-ḳhabar
is darja be-hayā ki nahīñ dil pe kuchh asar
nāzāñ haiñ sirf baap ke daadā ke naam par
qarze meñ ho rahī hai magar zindagī basar
dekho to ġhair hañste haiñ hoshyār ho zarā
lillāh ab to ḳhvāb se bedār ho zarā
phūlo-phalo ilāhī raho shaad sar-ba-sar
ho naḳhl-e-ittihād hamesha ye bārvar
vo din ḳhudā dikhā.e ki le aa.e ye samar
aanā hai tum ko manzil-e-maqsūd tak agar
Daalī hai ittihād kī tum ne jo dāġh-bel
himmat na haaro jaan ke bachchoñ kā ek khel
dekho to aur qaumoñ meñ kyā ittihād hai
daulat se aur ilm se har ek shaad hai
tum meñ bhī aaj aisā koī ḳhush-nihād hai
mahmūd kā ye qaul hameñ ab to yaad hai
do din rahe jo aa ke jahāñ meñ to khal ga.e
āḳhir ko misl-e-ḳhār-e-chaman se nikal ga.e
ai sakinān mauza-e-jugvūr assalām
duniyā hai aaj tum ko har ik baat kā payām
ab to nikālo apnī diloñ se ḳhayāl-e-ḳhām
achchhā nahīñ jo ġhair ke ban jaao tum ġhulām
achchhī nasīhatoñ pe amal phir zarūr hai
koī na ye kahe ki sarāsar qusūr hai
apne umuur meñ na karo ġhair ko sharīk
shar ko na DhūñDho aur karo ḳhair ko sharīk
achchhe nahīñ safar jo kareñ sair ko sharīk
ka.abe ke zikr meñ na karo dair ko sharīk
tum ḳhud rahe ho sāhib-e-iqbāl dahr meñ
kyuuñ DhūñDte ho zā.iqa-e-shahd zahar meñ
aḳhlāq kā charāġh bujhānā na chāhiye
zulmat-kada meñ ġhair ke jaanā na chāhiye
sachchī nasīhatoñ ko bhulānā na chāhiye
tum ko kisī fareb meñ aanā na chāhiye
allāh ke bharosa pe har kaam tum karo
dushman bhī jis ko maan leñ vo naam tum karo
fasl-e-bahaar aai magar hum hain aur gham
har samt se hain ghere hue sadma-o-alam
aai na uf zaban pe sitam par hue sitam
kya imtihan ke waste Thahre hain sirf hum
jab apni quwwaton pe bharosa nahin raha
behtar hai phir jahan se uTha le hamein KHuda
is umr-e-chand-roza mein ki lakh justuju
chhani hai hum ne KHak zamane mein ku-ba-ku
shikwa adu ka kya hai jab ahbab hain adu
jine ki ek second nahin ab to aarzu
hum ne samajh liya ki jahan se guzar gae
jab dil hi mar gaya to sab arman mar gae
hum par giraen charKH ne is had pe bijliyan
dam-bhar mein jal ke KHak huin sari ustuKHan
chalti rahin hawa-e-muKHalif ki aandhiyan
aata nahin samajh mein ki ja kar chhupen kahan
zer-e-zamin bhi chain ki ummid ab nahin
phir kya hai ye bata de koi gar ghazab nahin
makr-o-fareb se jo karen zindagi basar
sau jaan hazar dil se ho qurban har bashar
din raat hum hon aur hon ahbab-e-KHira-sar
iman-dariyon mein kaTi zindagi agar
har ek ki nigah mein bas KHar ho gae
be-sonche-samjhe mustahiq-e-dar ho gae
dawa to ye hai hum bhi musalman hain zarur
kalma jo pochhiye to nahin yaad hai huzur
kya gham agar shikasta azizon ke hain qubur
tera ye is pe had se ziyaada hai kuchh ghurur
melon ke waste jo talab ho to KHub den
qaumi jo koi kaam ho to nam bhi na len
puchha agar ibaadat-e-KHaliq hai koi chiz
farmaya dil mein ye to nihayat hai bad-tamiz
aiyyashiyan jo kijiye to aap hain aziz
ai qaum kahili hai teri ghar ki ab kaniz
achchhi buri ka jab to nahin imtiyaz hai
be-maegi par apni faqat tujh ko naz hai
hushyar koi lakh kare to hai be-KHabar
is darja be-haya ki nahin dil pe kuchh asar
nazan hain sirf bap ke dada ke nam par
qarze mein ho rahi hai magar zindagi basar
dekho to ghair hanste hain hoshyar ho zara
lillah ab to KHwab se bedar ho zara
phulo-phalo ilahi raho shad sar-ba-sar
ho naKHl-e-ittihad hamesha ye barwar
wo din KHuda dikhae ki le aae ye samar
aana hai tum ko manzil-e-maqsud tak agar
Dali hai ittihad ki tum ne jo dagh-bel
himmat na haaro jaan ke bachchon ka ek khel
dekho to aur qaumon mein kya ittihad hai
daulat se aur ilm se har ek shad hai
tum mein bhi aaj aisa koi KHush-nihad hai
mahmud ka ye qaul hamein ab to yaad hai
do din rahe jo aa ke jahan mein to khal gae
aaKHir ko misl-e-KHar-e-chaman se nikal gae
ai sakinan mauza-e-jugwur assalam
duniya hai aaj tum ko har ek baat ka payam
ab to nikalo apni dilon se KHayal-e-KHam
achchha nahin jo ghair ke ban jao tum ghulam
achchhi nasihaton pe amal phir zarur hai
koi na ye kahe ki sarasar qusur hai
apne umur mein na karo ghair ko sharik
shar ko na DhunDho aur karo KHair ko sharik
achchhe nahin safar jo karen sair ko sharik
kabe ke zikr mein na karo dair ko sharik
tum KHud rahe ho sahib-e-iqbaal dahr mein
kyun DhunDte ho zaiqa-e-shahd zahar mein
aKHlaq ka charagh bujhana na chahiye
zulmat-kada mein ghair ke jaana na chahiye
sachchi nasihaton ko bhulana na chahiye
tum ko kisi fareb mein aana na chahiye
allah ke bharosa pe har kaam tum karo
dushman bhi jis ko man len wo nam tum karo
- Book : Intekhab-e-Kuliyat Aalim Lucknowi (Pg. 363)
- Author : Mirza Mohammad Yousuf
- Publication : M. R. Publication (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.