nazm
jab vo is duniyā ke shor aur ḳhāmoshī se
qat’-e-ta'alluq ho ke english meñ ġhussa kartī hai
maiñ to Dar jaatā huuñ lekin
kamre kī dīvāreñ hañsne lagtī haiñ
vo ik aisī aag hai jis ko sirf dahakne se matlab hai
vo ik aisā phuul hai jis par apnī ḳhushbū bojh banī hai
vo ik aisā ḳhvāb hai jis ko dekhne vaalā ḳhud mushkil meñ paḌ saktā hai
us ko chhūne kī ḳhvāhish to Thiik hai lekin
paanī kaun pakaḌ saktā hai
vo rangoñ se vāqif hai
balki har ik rang ke shajre tak se vāqif hai
us ko 'ilm hai kin ḳhvāboñ se āñkheñ niilī paḌ jaatī haiñ
ham ne jin ko nafrat se mansūb kiyā
vo un piile phūloñ kī 'izzat kartī hai
kabhī kabhī vo apne haath meñ pencil le kar aisī satreñ khīñchtī hai
sab kuchh sīdhā ho jaatā hai
vo chāhe to har ik chiiz ko us ke asl meñ lā saktī hai
sirf usī ke hāthoñ se duniyā tartīb meñ aa saktī hai
har patthar us paaoñ se Takrāne kī ḳhvāhish meñ zinda hai
lekin ye to usī adhūre-pan kā jahāñ hai
har piñjre meñ aise qaidī kab hote haiñ
har kapḌe kī qismat meñ vo jism kahāñ hai
merī be-maqsad bātoñ se tang bhī aa jaatī hai to
mahsūs nahīñ hone detī
lekin apne hone se uktā jaatī hai
us ko vaqt kī pābandī se kyā matlab hai
vo to band ghaḌī bhī haath meñ bāñdh ke college aa jaatī hai
jab wo is duniya ke shor aur KHamoshi se
qat’-e-ta'alluq ho ke english mein ghussa karti hai
main to Dar jata hun lekin
kamre ki diwaren hansne lagti hain
wo ek aisi aag hai jis ko sirf dahakne se matlab hai
wo ek aisa phul hai jis par apni KHushbu bojh bani hai
wo ek aisa KHwab hai jis ko dekhne wala KHud mushkil mein paD sakta hai
us ko chhune ki KHwahish to Thik hai lekin
pani kaun pakaD sakta hai
wo rangon se waqif hai
balki har ek rang ke shajre tak se waqif hai
us ko 'ilm hai kin KHwabon se aankhen nili paD jati hain
hum ne jin ko nafrat se mansub kiya
wo un pile phulon ki 'izzat karti hai
kabhi kabhi wo apne hath mein pencil le kar aisi satren khinchti hai
sab kuchh sidha ho jata hai
wo chahe to har ek chiz ko us ke asl mein la sakti hai
sirf usi ke hathon se duniya tartib mein aa sakti hai
har patthar us paon se Takrane ki KHwahish mein zinda hai
lekin ye to usi adhure-pan ka jahan hai
har pinjre mein aise qaidi kab hote hain
har kapDe ki qismat mein wo jism kahan hai
meri be-maqsad baaton se tang bhi aa jati hai to
mahsus nahin hone deti
lekin apne hone se ukta jati hai
us ko waqt ki pabandi se kya matlab hai
wo to band ghaDi bhi hath mein bandh ke college aa jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.