nazm
be-sabāt kī duniyā mausamoñ meñ utrī hai
phuul ban ke aa.ī hai
gulshanoñ meñ utrī hai
āñsuoñ meñ utrī hai
dil meñ kuchh baras jī kar āñganoñ meñ utrī hai
chal diye ḳhatā ban kar
ishq kī hikāyat ke log bevafā ban kar
jism-o-jāñ ke parde meñ qais kī qabā ban kar
rāste kī miTTī par aks haiñ duāoñ ke
kuchh qadam haiñ ġhairoñ ke kuchh haiñ āshnāoñ ke
bārhā gine ham ne qāfile jafāoñ ke
aks-e-be-gunāh hoñge
naam bārgāhoñ ke kis qalam ne likkhe haiñ mashvare havāoñ ke
be-sabaat ki duniya mausamon mein utri hai
phul ban ke aai hai
gulshanon mein utri hai
aansuon mein utri hai
dil mein kuchh baras ji kar aanganon mein utri hai
chal diye KHata ban kar
ishq ki hikayat ke log bewafa ban kar
jism-o-jaan ke parde mein qais ki qaba ban kar
raste ki miTTi par aks hain duaon ke
kuchh qadam hain ghairon ke kuchh hain aashnaon ke
barha gine hum ne qafile jafaon ke
aks-e-be-gunah honge
nam bargahon ke kis qalam ne likkhe hain mashware hawaon ke
- Book : Pakistani Adab (Pg. 132)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.