nazm ka kuchh bhi nam nahin
shahzāde
ai mulk-e-suḳhan ke shahzāde
dekho maiñ ne
nazm likhī hai
nazm ki jaise dil kā shahr
shahr ki jis meñ tum rahte ho
aadhe hañs hañs bāteñ karte
aur aadhe gum-sum rahte ho
tumheñ adhūrī bāteñ aur adhūrī nazmeñ
achchhī lagtī haiñ nā
tum kahte ho baat adhūrī maiñ bhī ik pūrā-pan hotā hai
ḳhāmoshī ke kitne ma.anī hote haiñ
kuchh bāteñ an-kahī mukammal
shahzāde
maiñ nazm adhūrī likh laa.ī huuñ
tum is nazm ko unvāñ de do
tum ye nazm mukammal kar do
lekin tum is gahrī chup meñ
kyā is nazm ko tum anjām nahīñ doge
is ko naam nahīñ doge
shahzade
ai mulk-e-suKHan ke shahzade
dekho main ne
nazm likhi hai
nazm ki jaise dil ka shahr
shahr ki jis mein tum rahte ho
aadhe hans hans baaten karte
aur aadhe gum-sum rahte ho
tumhein adhuri baaten aur adhuri nazmen
achchhi lagti hain na
tum kahte ho baat adhuri main bhi ek pura-pan hota hai
KHamoshi ke kitne mani hote hain
kuchh baaten an-kahi mukammal
shahzade
main nazm adhuri likh lai hun
tum is nazm ko unwan de do
tum ye nazm mukammal kar do
lekin tum is gahri chup mein
kya is nazm ko tum anjam nahin doge
is ko nam nahin doge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.