nazm
kabhī to shāyad mausam badle
pyaar kī rut aa.e
is dhartī kī pyaas bujhe
dil dariyā phir shor kare
man kī mail miTe
chāñd sā mukhḌā phir chamke
phūloñ kī barkhā barse
aur dil mahke
kaljug ko ban-bās mile
terī merī baat chale
kab tak ham bezār raheñge
apnoñ aur parāyoñ se
āḳhir vo bhī haiñ ham se
kabhi to shayad mausam badle
pyar ki rut aae
is dharti ki pyas bujhe
dil dariya phir shor kare
man ki mail miTe
chand sa mukhDa phir chamke
phulon ki barkha barse
aur dil mahke
kaljug ko ban-bas mile
teri meri baat chale
kab tak hum bezar rahenge
apnon aur parayon se
aaKHir wo bhi hain hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.