nazm
ka.ī baar likhnā itnā dard kyuuñ detā hai
harf kyuuñ juḌte haiñ
lafz kyuuñ bante haiñ
aur is banñe bigaḌne meñ
hamāre vajūd ke sang-reze
reza reza ho kar
kyuuñ shāmil ho jaate haiñ
kyā shohrat kī sarmastī is dard kā mudāvā kartī hai
yā kisī kirdār ke hoñToñ par aa.ī muskān
laboñ pe dam toḌtī duā
musannif kī ham-rikāb bantī hai
harf se lafz
lafz se satr
phir kahānī kā safar
nadī ke bahāv kī mānind
ka.ī taḳhrīb-kāriyāñ apne jilau meñ sameTe
bahtā chalā jaatā hai
āḳhir ham likhte kyuuñ haiñ
jab ki ye jānte haiñ
likhnā dard detā hai
kai bar likhna itna dard kyun deta hai
harf kyun juDte hain
lafz kyun bante hain
aur is banne bigaDne mein
hamare wajud ke sang-reze
reza reza ho kar
kyun shamil ho jate hain
kya shohrat ki sarmasti is dard ka mudawa karti hai
ya kisi kirdar ke honTon par aai muskan
labon pe dam toDti dua
musannif ki ham-rikab banti hai
harf se lafz
lafz se satr
phir kahani ka safar
nadi ke bahaw ki manind
kai taKHrib-kariyan apne jilau mein sameTe
bahta chala jata hai
aaKHir hum likhte kyun hain
jab ki ye jaante hain
likhna dard deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.