nazm
kal se maiñ ye dekh rahā huuñ
mere kamre kā jo nal hai
us nal kā washer Tuut gayā hai
aur paanī
qatra-qatra Tapak rahā hai
aur isī tarah
qatra-qatra mere nal se
saarā samundar bah jā.egā
aur phir
būñd-būñd ḳhālī samundar
ik din phir se bhar jā.egā
kal se maiñ ye dekh rahā huuñ
kal se main ye dekh raha hun
mere kamre ka jo nal hai
us nal ka washer Tut gaya hai
aur pani
qatra-qatra Tapak raha hai
aur isi tarah
qatra-qatra mere nal se
sara samundar bah jaega
aur phir
bund-bund KHali samundar
ek din phir se bhar jaega
kal se main ye dekh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.