nazm ki shaera
jis ke sheroñ kī laḌiyāñ...
mohabbat ke māthe kā siñghār thiiñ
jis ke be-tāb jazboñ kī mīThī kasak
lutf kī dāstānoñ kā unvān thī
jo gulābī rutoñ kā mahaktā huā surḳh paimān thī
aaj ḳhāmosh hai...
nafratoñ ke alaav se uThtā dhuāñ
zard shāmoñ ke is mātamī ahd ko...
de gayā hai sulagte lahū kī humak
phuul kā ishq pesha gulābī badan
qabr ke zard katbe kā darbān hai
titliyāñ mar chukīñ!
chāñd ḳhāmosh hai...
jugnuoñ kā qabīla siyah-posh hai
nazm kī shā.era!
marsiye māñgtī, be-gunāhī kā taaza lahū thūktī
uḌte bārūd ke zahr se khāñstī
hāñptī-kāñptī nazm kaise likhe
jis ke sheron ki laDiyan
mohabbat ke mathe ka singhaar thin
jis ke be-tab jazbon ki miThi kasak
lutf ki dastanon ka unwan thi
jo gulabi ruton ka mahakta hua surKH paiman thi
aaj KHamosh hai
nafraton ke alaw se uThta dhuan
zard shamon ke is matami ahd ko
de gaya hai sulagte lahu ki humak
phul ka ishq pesha gulabi badan
qabr ke zard katbe ka darban hai
titliyan mar chukin!
chand KHamosh hai
jugnuon ka qabila siyah-posh hai
nazm ki shaera!
marsiye mangti, be-gunahi ka taza lahu thukti
uDte barud ke zahr se khansti
hanpti-kanpti nazm kaise likhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.