nazm
kisī tīkhe musavvir kā hasīñ shāhkār thī vo
us ke ḳhadd-o-ḳhāl aise the
ki jaise āsmāñ ke tasht pe rakkhe hue taare
magar vo isti.āre khul nahīñ sakte kisī sūrat
vo hoñToñ par hamesha muskurāhaT kā hasīñ ik taaj rakhtī thī
kabhī khultā nahīñ thā jo vo aisā raaz rakhtī thī
bahut maġhrūr thī lekin hamārī chāhatoñ kī laaj rakhtī thī
ajab andāz rakhtī thī
vo sharmātī to chehre par ajab ik rang aa jaatā
vo chaltī to ġhazāloñ ko bhī chalne kā zarā sā Dhang aa jaatā
vo jis dam gungunātī thī to ye mahsūs hotā thā
kisī mandir kī saarī ghanTiyāñ bajtī hoñ haule se
vo aisī jal-parī thī
ham ne jis ke sāmne har apsarā ko maañd dekhā thā
kabhī ham ne bhī apne rū-ba-rū ik chāñd dekhā thā
kisi tikhe musawwir ka hasin shahkar thi wo
us ke KHadd-o-KHal aise the
ki jaise aasman ke tasht pe rakkhe hue tare
magar wo istiare khul nahin sakte kisi surat
wo honTon par hamesha muskurahaT ka hasin ek taj rakhti thi
kabhi khulta nahin tha jo wo aisa raaz rakhti thi
bahut maghrur thi lekin hamari chahaton ki laj rakhti thi
ajab andaz rakhti thi
wo sharmati to chehre par ajab ek rang aa jata
wo chalti to ghazalon ko bhi chalne ka zara sa Dhang aa jata
wo jis dam gungunati thi to ye mahsus hota tha
kisi mandir ki sari ghanTiyan bajti hon haule se
wo aisi jal-pari thi
hum ne jis ke samne har apsara ko mand dekha tha
kabhi hum ne bhi apne ru-ba-ru ek chand dekha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.