nazm ko nazm ke haal par chhoD do
ibtidā se kabhī nazm hotī nahīñ
aur kabhī ibtidā se bhī pahle kahīñ
nazm hone ke āsār milte haiñ
jaise kahīñ qabl az zindagī
zindagī ke tasavvur se pahle
magar zindagī se bhī behtar
barāmad huī koī tahzīb
tahzīb miltī to hai
par kabhī ibtidā us kī miltī nahīñ
ibtidā se bhī pahle
talak zehn jaatā nahīñ
aur tahzīb se lenā-denā bhī kyā
nazm kī ibtidā nuun se
nuun legī nahīñ
ye hurūf-e-tahajjī kā ik rukn hai
jiim se jism
che se chamak
Daal se DālDā
scene se siin uupar ke tiin
vaav se vahm
jo kis qadar aham hai
nazm ke vast meñ
jo ki hotā nahīñ
dā.era to nahīñ
triangle nahīñ
hexagonal nahīñ
ḳhat nahīñ wave hai
ya.anī āvāz jaisī koī chiiz hai
magnet kī tarah koī shai hai
havā sā koī mo.āmla hai
koī current hai
jis ke lagne se bhī
nazm martī nahīñ
nazm kī intihā kyoñ ki hotī nahīñ
ḳhatm ho jaatī hai beach meñ hī kahīñ
jis tarah kuchh javāñ-marg
yā intihā par pahuñch kar bhī tishna hī rahtī hai
jaise
vo sab zinda lāsheñ ki jo maut kī date ke baad bhī jī rahī haiñ
davā apnī muddat mukammal kiye ek bīmār gāhak kī rah dekhtī hai
ye paanī kī lālach bahut baḌh ga.ī hai jo tanki ko bhar kar labālab baqāyā dīvāroñ kī buniyād meñ chhoḌ dete haiñ
bijlī ke aane kā vaqt aa bhī jaa.e magar in kī apnī ghaḌī hai
nijī daftaroñ ke mulāzim kī chhuTTī ke auqāt hote haiñ lekin use der tak baiThne aur biThāne meñ koī qabāhat nahīñ hai
sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñ
ibtida se kabhi nazm hoti nahin
aur kabhi ibtida se bhi pahle kahin
nazm hone ke aasar milte hain
jaise kahin qabl az zindagi
zindagi ke tasawwur se pahle
magar zindagi se bhi behtar
baramad hui koi tahzib
tahzib milti to hai
par kabhi ibtida us ki milti nahin
ibtida se bhi pahle
talak zehn jata nahin
aur tahzib se lena-dena bhi kya
nazm ki ibtida nun se
nun legi nahin
ye huruf-e-tahajji ka ek rukn hai
jim se jism
che se chamak
Dal se DalDa
scene se sin upar ke tin
waw se wahm
jo kis qadar aham hai
nazm ke wast mein
jo ki hota nahin
daera to nahin
triangle nahin
hexagonal nahin
KHat nahin wawe hai
yani aawaz jaisi koi chiz hai
magnet ki tarah koi shai hai
hawa sa koi moamla hai
koi current hai
jis ke lagne se bhi
nazm marti nahin
nazm ki intiha kyon ki hoti nahin
KHatm ho jati hai beach mein hi kahin
jis tarah kuchh jawan-marg
ya intiha par pahunch kar bhi tishna hi rahti hai
jaise
wo sab zinda lashen ki jo maut ki date ke baad bhi ji rahi hain
dawa apni muddat mukammal kiye ek bimar gahak ki rah dekhti hai
ye pani ki lalach bahut baDh gai hai jo tanki ko bhar kar labaalab baqaya diwaron ki buniyaad mein chhoD dete hain
bijli ke aane ka waqt aa bhi jae magar in ki apni ghaDi hai
niji daftaron ke mulazim ki chhuTTi ke auqat hote hain lekin use der tak baiThne aur biThane mein koi qabahat nahin hai
sitaron se aage jahan aur bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.