nazm kya hai
shā.irī kī do sinfeñ haiñ nazm-o-ġhazal
urdu meñ in kī shohrat hai bachcho aTal
nazm pāband hai nazm āzād bhī
ye kabhī nasr hai aur muarra kabhī
nazm-e-pāband meñ vazn hogā myaañ
aur āzād meñ bhī hai is kā nishāñ
nazm-e-pāband kā tarz hai jo latīf
is meñ pāoge tum qāfiya-o-radīf
nasrī nazmoñ meñ bas nasr hī nasr hai
vazn aur qāfiya hai na hī bahr hai
vazn aur qāfiye jin ko mushkil hue
nasrī nazmeñ umūman vo kahte lage
vazn nazm-e-muarra meñ hai dosto
is ko tum be-radīf-o-qavāfī kaho
masnavī ho qasīda ho yā marsiya
nazm kā miltā hai bachcho ham ko patā
nazm meñ silsila hai ḳhayālāt kā
ek dariyā sā hai dekho jazbāt kā
vo muḳhammas ho yā ho musaddas koī
ye bhī ik shakl hai nazm-e-pāband kī
vo ġhazal ho ki ho nazm bachcho suno
donoñ yaksāñ haiñ shohrat meñ bas jaan lo
'josh' kī nazmeñ mash.hūr haiñ har jagah
haiñ ġhazal ke 'jigar' vāqa.ī bādshah
nazm meñ jo kahānī kahī jā.egī
shauq se ai miyāñ vo sunī jā.egī
nazmeñ sīmāb-o-iqbāl ne bhī likhīñ
jo nihāyat hī mash.hūr sābit huiiñ
kartā huuñ bachchoñ ke vāste maiñ duā
nazmeñ bachchoñ kī likhtā huuñ 'hāfiz' sadā
shairi ki do sinfen hain nazm-o-ghazal
urdu mein in ki shohrat hai bachcho aTal
nazm paband hai nazm aazad bhi
ye kabhi nasr hai aur muarra kabhi
nazm-e-paband mein wazn hoga myan
aur aazad mein bhi hai is ka nishan
nazm-e-paband ka tarz hai jo latif
is mein paoge tum qafiya-o-radif
nasri nazmon mein bas nasr hi nasr hai
wazn aur qafiya hai na hi bahr hai
wazn aur qafiye jin ko mushkil hue
nasri nazmen umuman wo kahte lage
wazn nazm-e-muarra mein hai dosto
is ko tum be-radif-o-qawafi kaho
masnawi ho qasida ho ya marsiya
nazm ka milta hai bachcho hum ko pata
nazm mein silsila hai KHayalat ka
ek dariya sa hai dekho jazbaat ka
wo muKHammas ho ya ho musaddas koi
ye bhi ek shakl hai nazm-e-paband ki
wo ghazal ho ki ho nazm bachcho suno
donon yaksan hain shohrat mein bas jaan lo
'josh' ki nazmen mashhur hain har jagah
hain ghazal ke 'jigar' waqai baadshah
nazm mein jo kahani kahi jaegi
shauq se ai miyan wo suni jaegi
nazmen simab-o-iqbaal ne bhi likhin
jo nihayat hi mashhur sabit huin
karta hun bachchon ke waste main dua
nazmen bachchon ki likhta hun 'hafiz' sada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.