nazm
maiñ kal raat
is shahr kī us saḌak par gayā
jahāñ log
apnī sadāoñ se Dar kar
samā.at ko nīlām kar rahe the
har ik shaḳhs
bas bolnā chāhtā thā
har ik shaḳhs
muTThī meñ jumle chhupā.e khaḌā thā
vahāñ laḌkiyāñ
laal piilī harī titliyoñ kī tarah
tairtī phir rahī thiiñ
magar apne jismoñ ke saare ḳhatarnāk hissoñ se ḳhud Dar rahī thiiñ
vahāñ kāñch ke chhoTe chhoTe gharauñde bane the
vahāñ sūkhe sahme daraḳhtoñ ke saa.e ghane the
main kal raat
is shahr ki us saDak par gaya
jahan log
apni sadaon se Dar kar
samaat ko nilam kar rahe the
har ek shaKHs
bas bolna chahta tha
har ek shaKHs
muTThi mein jumle chhupae khaDa tha
wahan laDkiyan
lal pili hari titliyon ki tarah
tairti phir rahi thin
magar apne jismon ke sare KHatarnak hisson se KHud Dar rahi thin
wahan kanch ke chhoTe chhoTe gharaunde bane the
wahan sukhe sahme daraKHton ke sae ghane the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.