nazm
maiñ kis kī beTī huuñ
merī ā.ankhoñ meñ
na kājal hai na koī sapnā
sapne lux kī Tikiyā the
jīvan sāgar kī agnī meñ
pighal ga.e
kājal maiñ ne kahāñ rakhā?
maañ ne apnī shādī kī
ik chāñdī kī Dibiya
dī to thī kājal bhar ke
yaad hai mujhe
maañ aksar
kapās ke phuul se ruuī le kar
haldī aur bālingū gūñdh ke
ik baatī banātīñ
baatī shab bhar makkhan meñ jalā ke
sub.h
shītal kājal
ā.ankhoñ meñ lagā ke
rañg-mahal kī gaddī pe
sapne pirotīñ!
maiñ kis kī beTī huuñ
merī ā.ankhoñ meñ
na kājal hai na koī sapnā
kājal maiñ ne kahāñ rakhā?
main kis ki beTi hun
meri aaankhon mein
na kajal hai na koi sapna
sapne lux ki Tikiya the
jiwan sagar ki agni mein
pighal gae
kajal main ne kahan rakha?
man ne apni shadi ki
ek chandi ki Dibiya
di to thi kajal bhar ke
yaad hai mujhe
man aksar
kapas ke phul se rui le kar
haldi aur baalingu gundh ke
ek baati banatin
baati shab bhar makkhan mein jala ke
subh
shital kajal
aaankhon mein laga ke
rang-mahal ki gaddi pe
sapne pirotin!
main kis ki beTi hun
meri aaankhon mein
na kajal hai na koi sapna
kajal main ne kahan rakha?
- Book : Man Me'n Jami Barf (Pg. 58)
- Author : Dr. Shabnam Ishai
- Publication : Arshia Publications, Delhi (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.