nazm
maiñ ne ik anjān nagar meñ
ek makāñ par dastak dī hai
mujh ko ye aashā thī koī farishta-sīrat
apnī basīrat apne nūr-e-dil se merā rahbar hogā
lekin ab maiñ dekh rahā huuñ
sannāTe kā bhuut khaḌā hai
behis vahshat kā ik paikar
zahr-āmez hañsī hañstā hai
main ne ek anjaan nagar mein
ek makan par dastak di hai
mujh ko ye aasha thi koi farishta-sirat
apni basirat apne nur-e-dil se mera rahbar hoga
lekin ab main dekh raha hun
sannaTe ka bhut khaDa hai
behis wahshat ka ek paikar
zahr-amez hansi hansta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.