nazm
maiñ sapnoñ meñ
oxygen plant install kar rahā huuñ
aur har marne vaale ke saath mar rahā huuñ
maiñ apne lafzoñ ke zariye
tumheñ sāñsoñ ke cylinder bhejūñgā
jo tumheñ is jang meñ hārne nahīñ deñge
aur tumhārī dekh-bhāl karne
vāloñ ke hāthoñ ko kāñpne nahīñ deñge
oxygen stock ḳhatm hone kī
ḳhabreñ gardish bhī kareñ bhī to kyā
maiñ tumhāre liye
apne nazmoñ se ventilator banā.ūñgā
aspatāloñ ke bistar bhar bhī jaa.eñ
kuchh log tum se bichhaḌ bhī jaa.eñ
to hausla mat hārnā
kyoñ ki raat jitnī chāhe
marzī kaalī ho guzar jaane ke liye hotī hai
rang utar jaane ke liye hote haiñ
aur zaḳhm bhar jaane ke liye hote haiñ
main sapnon mein
oxygen plant install kar raha hun
aur har marne wale ke sath mar raha hun
main apne lafzon ke zariye
tumhein sanson ke cylinder bhejunga
jo tumhein is jang mein haarne nahin denge
aur tumhaari dekh-bhaal karne
walon ke hathon ko kanpne nahin denge
oxygen stock KHatm hone ki
KHabren gardish bhi karen bhi to kya
main tumhaare liye
apne nazmon se wentilator banaunga
aspatalon ke bistar bhar bhi jaen
kuchh log tum se bichhaD bhi jaen
to hausla mat haarna
kyon ki raat jitni chahe
marzi kali ho guzar jaane ke liye hoti hai
rang utar jaane ke liye hote hain
aur zaKHm bhar jaane ke liye hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.