nazm
maiñ us niile parbat kī ūñchā.iyoñ par
jo be-intihā ḳhūb-sūrat nazar aa rahī haiñ
ka.ī saal rah kar
har ik zāviye se
ik ik zarre kā jā.eza le ke lauTā huuñ
aur kah rahā huuñ vahāñ tum na jaao
vahāñ kuchh nahīñ hai
faqat duur se ham ko āvāz dete hue
chand sannāToñ
aur
bāzuoñ ko pasāre hue ik ḳhalā ke sivā
aur kuchh bhī nahīñ hai
vahāñ tum na jaao
main us nile parbat ki unchaiyon par
jo be-intiha KHub-surat nazar aa rahi hain
kai sal rah kar
har ek zawiye se
ek ek zarre ka jaeza le ke lauTa hun
aur kah raha hun wahan tum na jao
wahan kuchh nahin hai
faqat dur se hum ko aawaz dete hue
chand sannaTon
aur
bazuon ko pasare hue ek KHala ke siwa
aur kuchh bhi nahin hai
wahan tum na jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.