nazm
hamāre sheroñ meñ maqtal ke isti.āre haiñ
hamāre ġhazloñ ne dekhā hai kūcha-e-qātil
salīb-o-dār pe nazmeñ hamārī laTkī haiñ
hamārī fikr hai zaḳhmī lahū-luhān hai fikr
har ek lafz pareshāñ har ek misra udaas
ham apne sheroñ ke mafhūm par pashemāñ haiñ
ḳhudā kare ki jo aa.eñ hamāre ba.ad vo log
hamāre fan kī alāmāt ko samajh na sakeñ
charāġh-e-dair-o-haram se kisī kā ghar na jale
na koī phir se hikāyāt-e-raftagāñ likkhe
na koī phir se alāmāt-e-ḳhūñ-chakāñ likkhe
fasīl-dār saroñ ke charāġh raqs-e-junūñ
sarāb-e-tishna-labī ḳhaar ābla-pā.ī
darīda-pairahanī chāk-dāmanī vahshat
sumūm, ātish-e-gul, barq, āshiyāñ, sayyād
rivāyateñ ye mire ahd kī alāmat haiñ
alāmateñ ye mire sher kā muqaddar haiñ
ḳhudā kare ki jo aa.eñ hamāre ba.ad vo log
hamāre fan kī alāmāt ko samajh na sakeñ
charāġh-e-dair-o-haram se kisī kā ghar na jale
na koī phir se hikāyāt-e-raftagāñ likkhe
na koī phir se alāmāt-e-ḳhūñ-chakāñ likkhe
hamare sheron mein maqtal ke istiare hain
hamare ghazlon ne dekha hai kucha-e-qatil
salib-o-dar pe nazmen hamari laTki hain
hamari fikr hai zaKHmi lahu-luhan hai fikr
har ek lafz pareshan har ek misra udas
hum apne sheron ke mafhum par pasheman hain
KHuda kare ki jo aaen hamare baad wo log
hamare fan ki alamat ko samajh na saken
charagh-e-dair-o-haram se kisi ka ghar na jale
na koi phir se hikayat-e-raftagan likkhe
na koi phir se alamat-e-KHun-chakan likkhe
fasil-dar saron ke charagh raqs-e-junun
sarab-e-tishna-labi KHar aabla-pai
darida-pairahani chaak-damani wahshat
sumum, aatish-e-gul, barq, aashiyan, sayyaad
riwayaten ye mere ahd ki alamat hain
alamaten ye mere sher ka muqaddar hain
KHuda kare ki jo aaen hamare baad wo log
hamare fan ki alamat ko samajh na saken
charagh-e-dair-o-haram se kisi ka ghar na jale
na koi phir se hikayat-e-raftagan likkhe
na koi phir se alamat-e-KHun-chakan likkhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.