nazm
merā us kā saath nahīñ hai
maiñ kyā jānūñ
kaun hai vo kyā naam hai us kā
kis ke ghar meñ aaya thā vo
aur kis ke ghar se niklā hai
maiñ kyā jānūñ
kis ke hoñToñ kī surḳhī ko
chhīn ke us ne
apnī jeb meñ rakh chhoḌā hai
aur logoñ se aañkh bachā.e
chupke-chupke bhaag rahā hai
mujh ko kuchh mā'lūm nahīñ hai
mera us ka sath nahin hai
main kya jaanun
kaun hai wo kya nam hai us ka
kis ke ghar mein aaya tha wo
aur kis ke ghar se nikla hai
main kya jaanun
kis ke honTon ki surKHi ko
chhin ke us ne
apni jeb mein rakh chhoDa hai
aur logon se aankh bachae
chupke-chupke bhag raha hai
mujh ko kuchh ma'lum nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.