nazm
mere in kākul-e-barham kī hikāyat mat pūchh
aah us nāla-e-paiham kī haqīqat mat pūchh
dekh le chashm-e-basīrat se zamāne kā nizām
mujh se ai dost mire ġham kī sadāqat mat pūchh
lab-e-rañgīñ kā vo e.ajāz kahāñ se lā.ūñ
sāz-e-ḳhāmosh meñ āvāz kahāñ se lā.ūñ
dāstān-e-dil-e-barbād sunā.ūñ kaise
mujh pe guzrī hai jo uftād sunā.ūñ kaise
ātish-e-ġham se sulagtā hai kaleja merā
dil-e-nāshād kī fariyād sunā.ūñ kaise
haa.e ab tāqat-e-guftār kahāñ se lā.ūñ
naġhma-e-ġham kā ḳharīdār kahāñ se lā.ūñ
jām-o-mīnā meñ bahakte hue īmān ko dekh
bhūk-o-iflās se marte hue insān ko dekh
har taraf shor hai fariyād hai barbādī hai
rū-e-gardūñ pe machalte hue tūfāñ ko dekh
ab batā chashm-e-fusūñ-kār kahāñ se lā.ūñ
mast-o-be-ḳhud sī vo raftār kahāñ se lā.ūñ
par tujhe ishq-o-mohabbat se kahāñ fursat hai
mai-e-gul-rañg kī la.anat se kahāñ fursat hai
aah mazlūm nigāhoñ kā fasāna sun le
havas-o-hirs kī daulat se kahāñ fursat hai
dil-e-betāb meñ phir taab kahāñ se lā.ūñ
apnī āñkhoñ meñ mai-e-nāb kahāñ se lā.ūñ
apne gulshan kī tabāhī kā gila kis se karūñ
shām-e-ġhurbat kī siyāhī kā gila kis se karūñ
holiyāñ ḳhuun kī khelī ga.iiñ insānoñ meñ
apnī nā-karda-gunāhī kā gila kis se karūñ
apnī nīñdoñ meñ tire ḳhvāb kahāñ se lā.ūñ
fursat-e-ḳhātir-e-ahbāb kahāñ se lā.ūñ
mere in kakul-e-barham ki hikayat mat puchh
aah us nala-e-paiham ki haqiqat mat puchh
dekh le chashm-e-basirat se zamane ka nizam
mujh se ai dost mere gham ki sadaqat mat puchh
lab-e-rangin ka wo eajaz kahan se laun
saz-e-KHamosh mein aawaz kahan se laun
dastan-e-dil-e-barbaad sunaun kaise
mujh pe guzri hai jo uftad sunaun kaise
aatish-e-gham se sulagta hai kaleja mera
dil-e-nashad ki fariyaad sunaun kaise
hae ab taqat-e-guftar kahan se laun
naghma-e-gham ka KHaridar kahan se laun
jam-o-mina mein bahakte hue iman ko dekh
bhuk-o-iflas se marte hue insan ko dekh
har taraf shor hai fariyaad hai barbaadi hai
ru-e-gardun pe machalte hue tufan ko dekh
ab bata chashm-e-fusun-kar kahan se laun
mast-o-be-KHud si wo raftar kahan se laun
par tujhe ishq-o-mohabbat se kahan fursat hai
mai-e-gul-rang ki lanat se kahan fursat hai
aah mazlum nigahon ka fasana sun le
hawas-o-hirs ki daulat se kahan fursat hai
dil-e-betab mein phir tab kahan se laun
apni aankhon mein mai-e-nab kahan se laun
apne gulshan ki tabahi ka gila kis se karun
sham-e-ghurbat ki siyahi ka gila kis se karun
holiyan KHun ki kheli gain insanon mein
apni na-karda-gunahi ka gila kis se karun
apni nindon mein tere KHwab kahan se laun
fursat-e-KHatir-e-ahbab kahan se laun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.