nazm
mere kamre meñ
ek ā.īna
ghaḌī ke saath Tañgā thā
havā ke ek jhoñke se
kal gir kar TuuT gayā
TukḌe-TukḌe bikhar gayā
TuuTe TukḌe baTor rahā thā
jaane kaise unglī se
ḳhuun kā ek qatra nikal aaya
aur
un bikhre hue TukḌoñ meñ
ḳhuun ke saikḌoñ qatre chamak uThe
pahle to ye baat na thī
mere kamre mein
ek aaina
ghaDi ke sath Tanga tha
hawa ke ek jhonke se
kal gir kar TuT gaya
TukDe-TukDe bikhar gaya
TuTe TukDe baTor raha tha
jaane kaise ungli se
KHun ka ek qatra nikal aaya
aur
un bikhre hue TukDon mein
KHun ke saikDon qatre chamak uThe
pahle to ye baat na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.