nazm
mire shahar meñ mirī āḳhirī
vo ajiib shab thī visāl kī
ki chaman meñ chhāyā dhuāñ sā thā
kahāñ shabnamī vo bahār thī
vo chamelī ḳhushbū bikhertī
vo bharī sī shāḳheñ gulāb sī
ki har ek pattī thī nauha-ḳhvāñ
thī kalī kalī bhī niDhāl sī
the vo mujh se jaise gila-kunāñ
maiñ chalī huuñ kyoñ unheñ chhoḌ ke
thiiñ laraztī kāñptī Dāliyāñ
ki laboñ pe sab ke the marsiye
ye bayān karte the pairahan
hameñ ḳhud se tum na judā karo
tirī ḳhushbūoñ meñ base haiñ ham
hameñ apne saath hī le chalo
thā ajiib shor sā har taraf
ki samā.ateñ bhī laraz ga.iiñ
mirī siskiyāñ mirī aaheñ bhī
mire dil meñ ḳhauf se jā chhupīñ
na samay rukā na maiñ ruk sakī
ki vatan hī mujh se bichhaḌ gayā
vahī miTTī jis kā ḳhamīr thī
vahī shahar mujh se bichhaḌ gayā
mere shahar mein meri aaKHiri
wo ajib shab thi visal ki
ki chaman mein chhaya dhuan sa tha
kahan shabnami wo bahaar thi
wo chameli KHushbu bikherti
wo bhari si shaKHen gulab si
ki har ek patti thi nauha-KHwan
thi kali kali bhi niDhaal si
the wo mujh se jaise gila-kunan
main chali hun kyon unhen chhoD ke
thin larazti kanpti Daliyan
ki labon pe sab ke the marsiye
ye bayan karte the pairahan
hamein KHud se tum na juda karo
teri KHushbuon mein base hain hum
hamein apne sath hi le chalo
tha ajib shor sa har taraf
ki samaaten bhi laraz gain
meri siskiyan meri aahen bhi
mere dil mein KHauf se ja chhupin
na samay ruka na main ruk saki
ki watan hi mujh se bichhaD gaya
wahi miTTi jis ka KHamir thi
wahi shahar mujh se bichhaD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.