nazm
mire taḳhayyul ko bolne kā hunar nahīñ thā
hurūf jitne ḳhirad kī farhang meñ paḌe the
maiñ un ko chunñe ke fan se vāqif thā aur tartīb jāntā thā
maiñ sab tarākīb jāntā thā
magar kamī thī
kamī bhī aisī ki jis se alfāz nīm-murda se lag rahe the
maiñ saare gur aazmā ke jab thak gayā to cigarette jalā liyā thā
aur āñkheñ mūñde tire ḳhayāloñ meñ kho gayā thā
us ek lamhe ḳhirad kī farhang meñ likhe sab hurūf rangīn ho rahe the
tire sarāpe ko dekhte hī hurūf saare qalam se qirtās par utarne ko haath bāñdhe khaḌe hue the
ki jaise tere ġhulām hoñ sab
mire taḳhayyul ko bolne kā hunar milā
nazm ho ga.ī thī
mere taKHayyul ko bolne ka hunar nahin tha
huruf jitne KHirad ki farhang mein paDe the
main un ko chunne ke fan se waqif tha aur tartib jaanta tha
main sab tarakib jaanta tha
magar kami thi
kami bhi aisi ki jis se alfaz nim-murda se lag rahe the
main sare gur aazma ke jab thak gaya to cigarette jala liya tha
aur aankhen munde tere KHayalon mein kho gaya tha
us ek lamhe KHirad ki farhang mein likhe sab huruf rangin ho rahe the
tere sarape ko dekhte hi huruf sare qalam se qirtas par utarne ko hath bandhe khaDe hue the
ki jaise tere ghulam hon sab
mere taKHayyul ko bolne ka hunar mila
nazm ho gai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.